nainital
aao bachcho giit sunā.eñ
nainital kā haal batā.eñ
ek pahāḌī desh basā hai
qudrat ke rañgoñ se bharā hai
ūñchī ūñchī haiñ chaTTāneñ
jaise qil.e kī dīvāreñ
bal khaa.ī saḌkoñ ke kināre
hare bhare peḌoñ ke nazāre
hadd-e-nazar tak harā-bharā hai
rañg-birañga phuul khilā hai
ḳhushbū se mahkī haiñ fazā.eñ
bhīnī bhīnī mast havā.eñ
is dhartī ke rañg albele
god meñ jis ke bādal khele
chīnā piik kī ūñchī choTī
everest kī hai yaad dilātī
aaTh hazār foot ūñchā.ī par
khīñch aayā jannat kā manzar
may june meñ ḳhāsī sardī
jāḌoñ meñ hai barf barastī
snowfall vo haule haule
jaise nature motī role
niilā niilā jhiil kā paanī
gahre taal kī hai ye nishānī
lahroñ se Takrātī kashtī
chalī kināre haTtī bachtī
aao bachcho git sunaen
nainital ka haal bataen
ek pahaDi desh basa hai
qudrat ke rangon se bhara hai
unchi unchi hain chaTTanen
jaise qile ki diwaren
bal khai saDkon ke kinare
hare bhare peDon ke nazare
hadd-e-nazar tak hara-bhara hai
rang-biranga phul khila hai
KHushbu se mahki hain fazaen
bhini bhini mast hawaen
is dharti ke rang albele
god mein jis ke baadal khele
china pik ki unchi choTi
ewerest ki hai yaad dilati
aaTh hazar foot unchai par
khinch aaya jannat ka manzar
may june mein KHasi sardi
jaDon mein hai barf barasti
snowfall wo haule haule
jaise nature moti role
nila nila jhil ka pani
gahre tal ki hai ye nishani
lahron se Takraati kashti
chali kinare haTti bachti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.