najat
nuzūl-e-itāb kī ghaḌī
nazdīk hai…….
darbārī kutte!
rū-posh bāġhiyoñ kī talāsh meñ
zamīneñ sūñghte phir rahe haiñ
sarbarāhoñ kī quvvat-e-faislā javāb de chukī hai
un ke maflūj haath
darbāriyoñ ke rachā.e shaḌyantaroñ par
kyuuñ dastaḳhat karne kī mashīneñ haiñ
un kī zabāneñ sirf dhamkiyāñ boltī haiñ
un ke anā-parast kaan
giḌgiḌhaTeñ sunñe ke aadī ho chuke haiñ
mushīroñ aur salāh-kāroñ kā daavā hai
ki vo jald hī sarbarāhoñ ko
dast-ḳhatoñ kī zahmat se bhī najāt dilāne kā rāsta DhūñD nikāleñge!
nuzul-e-itab ki ghaDi
nazdik hai……
darbari kutte!
ru-posh baghiyon ki talash mein
zaminen sunghte phir rahe hain
sarbarahon ki quwwat-e-faisla jawab de chuki hai
un ke mafluj hath
darbariyon ke rachae shaDyantaron par
kyun dastaKHat karne ki mashinen hain
un ki zabanen sirf dhamkiyan bolti hain
un ke ana-parast kan
giDgiDhaTen sunne ke aadi ho chuke hain
mushiron aur salah-karon ka dawa hai
ki wo jald hi sarbarahon ko
dast-KHaton ki zahmat se bhi najat dilane ka rasta DhunD nikalenge!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.