najat
ḳhāmosh muhīb raat kā
dil dhaḌaktā hai
añdhere ke zabardast haath ne
merī āñkhoñ se niiñd khasīT lī hai
is vahshī sannāTe meñ
havā kī dozaḳhī lahroñ par taḌaptī huī
ek fariyād
mujh tak pahuñchtī na thī
halq par
ġhair-mar.ī nāḳhunoñ ke dabāo se
maiñ kisī ok-e-zabān meñ
gāliyāñ detā huuñ
chand lamhoñ ke ba.ad
kisī ġhair-fitrī ġhaflat ke panje mujhe jakaḌ lete haiñ
is tarah mujhe rihā.ī miltī hai
maiñ āzād ho jaatā huuñ
KHamosh muhib raat ka
dil dhaDakta hai
andhere ke zabardast hath ne
meri aankhon se nind khasiT li hai
is wahshi sannaTe mein
hawa ki dozaKHi lahron par taDapti hui
ek fariyaad
mujh tak pahunchti na thi
halq par
ghair-mari naKHunon ke dabao se
main kisi ok-e-zaban mein
galiyan deta hun
chand lamhon ke baad
kisi ghair-fitri ghaflat ke panje mujhe jakaD lete hain
is tarah mujhe rihai milti hai
main aazad ho jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.