kyā sochtī ho
dīvār-e-farāmoshī se udhar kyā dekhtī ho
ā.īna-e-ḳhvāb meñ aane vaale lamhoñ ke manzar dekho
āñgan meñ purāne niim ke peḌ ke saa.e meñ
bhayyū ke jahāz meñ baiThī huī nannhī chiḌiyā
kyuuñ uḌtī nahīñ
jañgal kī taraf jaane vaalī vo ek akelī pagDanDī
kyuuñ muḌtī nahīñ
TuuTī zanjīr sadāoñ kī kyuuñ juḌtī nahīñ
ik surḳh gulāb lagā lo apne juuḌe meñ
aur phir socho
kya sochti ho
diwar-e-faramoshi se udhar kya dekhti ho
aaina-e-KHwab mein aane wale lamhon ke manzar dekho
aangan mein purane nim ke peD ke sae mein
bhayyu ke jahaz mein baiThi hui nannhi chiDiya
kyun uDti nahin
jangal ki taraf jaane wali wo ek akeli pagDanDi
kyun muDti nahin
TuTi zanjir sadaon ki kyun juDti nahin
ek surKH gulab laga lo apne juDe mein
aur phir socho
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 299)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.