naKHl-e-mariyam
TaaT ke ik parde ke pīchhe
ghuTī huī galiyoñ kī fazā meñ
ek kashīda karne vaalī
gul-kārī kī shā.eq laḌkī
kartī hai aise gul-bārī
malmal ho jaise ik kyārī
habs aur garmī meñ ye mālan
bel chaḌhā.e phuul lagā.e
chikan ke Tāñkoñ se khul jaa.eñ
Dher chamelī ke lag jaa.eñ
gajre bele ke lahrā.eñ
lams se doshīza hāthoñ ke
yuuñ sarshār huā jaatā hai
kapḌā sūrat naḳhl-e-mariyam
phaltā bār-āvar hotā hai
apnī aañkh kī jot se us ne
apne ghar ke diip jalā.e
lekin is se qabl ki chāñdī
us kī choTī meñ gundh jaa.e
us kī thakī huī palkoñ ko
chuum le aa kar koī masīhā
poroñ ke zaḳhmoñ ko ik din
apne lams se yaksar bhar de
us ke gul-andām badan ko
pyaar se jab bāñhoñ meñ sameTe
TaT ke ek parde ke pichhe
ghuTi hui galiyon ki faza mein
ek kashida karne wali
gul-kari ki shaeq laDki
karti hai aise gul-bari
malmal ho jaise ek kyari
habs aur garmi mein ye malan
bel chaDhae phul lagae
chikan ke Tankon se khul jaen
Dher chameli ke lag jaen
gajre bele ke lahraen
lams se doshiza hathon ke
yun sarshaar hua jata hai
kapDa surat naKHl-e-mariyam
phalta bar-awar hota hai
apni aankh ki jot se us ne
apne ghar ke dip jalae
lekin is se qabl ki chandi
us ki choTi mein gundh jae
us ki thaki hui palkon ko
chum le aa kar koi masiha
poron ke zaKHmon ko ek din
apne lams se yaksar bhar de
us ke gul-andam badan ko
pyar se jab banhon mein sameTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.