Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

namrud ki KHudai

Noon Meem Rashid

namrud ki KHudai

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    ye qudsiyoñ zamīñ

    jahāñ falsafī ne dekhā thaa, apne ḳhvāb-e-sahar-gahī meñ

    havā-e-tāza o kisht-e-shādāb o chashma-e-jāñfaroz aarzū partav

    yahīñ musāfir pahuñch ke ab sochne lagā hai:

    ''vo ḳhvāb-e-kābūs to nahīñ thaa?

    vo ḳhvāb-e-kābūs to nahīñ thaa?

    ai falsafa-go,

    kahāñ vo rūyā-e-āsmānī?

    kahāñ ye namrūd ḳhudā.ī!

    jaal buntā rahā hai jin ke shikasta tāroñ se apne mauhūm falsafe ke

    ham us yaqīñ se, ham us amal se, ham us mohabbat se,

    aaj māyūs ho chuke haiñ,

    koī ye kis se kahe ki āḳhir

    gavāh kis adl-e-be-bahā ke the ahd-e-tātār ke ḳharābe?

    ajam, vo marz-e-tilism-o-rañg-o-ḳhayāl-o-naġhma

    arab, vo iqlīm-e-shīr-o-shahd-o-sharāb-o-ḳhurmā

    faqat navāsañj the dar-o-bām ke ziyāñ ke,

    jo un pe guzrī thī

    us se bad-tar dinoñ ke ham said-e-nā-tavāñ haiñ!

    koī ye kis se kahe:

    dar-o-bām,

    aahan o chob o sañg o sīmāñ ke

    husn-e-paivand fusūñ the

    bikhar gayā vo fusūñ to kyā ġham?

    aur aise paivand se umīd-e-vafā kise thii!

    shikast-e-mīnā o jām-e-bar-haq,

    shikast-e-rañg-e-azār-e-mahbūb bhī gavārā

    magar yahāñ to khañDar diloñ ke,

    (ye nau-e-insāñ

    kahkashāñ se buland-o-bartar talab ke ujḌe hue madā.in-)

    shikast-e-āhañg-e-harf-o-ma.anī ke nauhagar haiñ,

    ye qudsiyon ki zamin

    jahan falsafi ne dekha tha, apne KHwab-e-sahar-gahi mein

    hawa-e-taza o kisht-e-shadab o chashma-e-jaanfaroz ki aarzu ka partaw

    yahin musafir pahunch ke ab sochne laga hai:

    wo KHwab-e-kabus to nahin tha?

    wo KHwab-e-kabus to nahin tha?

    ai falsafa-go,

    kahan wo ruya-e-asmani?

    kahan ye namrud ki KHudai!

    tu jal bunta raha hai jin ke shikasta taron se apne mauhum falsafe ke

    hum us yaqin se, hum us amal se, hum us mohabbat se,

    aaj mayus ho chuke hain,

    koi ye kis se kahe ki aaKHir

    gawah kis adl-e-be-baha ke the ahd-e-tatar ke KHarabe?

    ajam, wo marz-e-tilism-o-rang-o-KHayal-o-naghma

    arab, wo iqlim-e-shir-o-shahd-o-sharab-o-KHurma

    faqat nawasanj the dar-o-baam ke ziyan ke,

    jo un pe guzri thi

    us se bad-tar dinon ke hum said-e-na-tawan hain!

    koi ye kis se kahe:

    dar-o-baam,

    aahan o chob o sang o siman ke

    husn-e-paiwand ka fusun the

    bikhar gaya wo fusun to kya gham?

    aur aise paiwand se umid-e-wafa kise thi!

    shikast-e-mina o jam-e-bar-haq,

    shikast-e-rang-e-azar-e-mahbub bhi gawara

    magar yahan to khanDar dilon ke,

    (ye nau-e-insan ki

    kahkashan se buland-o-bartar talab ke ujDe hue madain-)

    shikast-e-ahang-e-harf-o-mani ke nauhagar hain,

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zia Mohyeddin

    Zia Mohyeddin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now