Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nanha ghasib

Azmatullah Khan

nanha ghasib

Azmatullah Khan

MORE BYAzmatullah Khan

    mire ghar devī ke bālā-e-sīna

    khilā hai mohabbat taaza kañval

    daraḳhshanda jaise sar-e-shām zohra

    ufuq par samundar ke aa.e nikal

    vo hāthoñ pe apne khilātī hai us ko

    vo pairoñ pe apne jhulātī hai us ko

    vo rakhtī hai āñkhoñ meñ putlī banā ke

    vo sote meñ rotā jo uTh baiThtā hai

    to bosoñ se motī se aañsū vo poñchhe

    vo sau jaan se har adā par fidā hai

    vo hai laal donoñ jahāñ jis pe sadqe

    ye nannhī jaañ aur ġhāsib ke da.ave

    mirā taḳht-e-zarrīñ hai tere havāle

    tire dast-o-bāzū farishtoñ ke daste

    hai vo zabardast jiite pe jiite

    mere ghar ki dewi ke baala-e-sina

    khila hai mohabbat ka taza kanwal

    daraKHshanda jaise sar-e-sham zohra

    ufuq par samundar ke aae nikal

    wo hathon pe apne khilati hai us ko

    wo pairon pe apne jhulati hai us ko

    wo rakhti hai aankhon mein putli bana ke

    wo sote mein rota jo uTh baiThta hai

    to boson se moti se aansu wo ponchhe

    wo sau jaan se har ada par fida hai

    wo hai lal donon jahan jis pe sadqe

    ye nannhi si jaan aur ghasib ke dawe

    mera taKHt-e-zarrin hai tere hawale

    tere dast-o-bazu farishton ke daste

    tu hai wo zabardast jite pe jite

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now