nanha pauda
qalb-e-zamīñ kī gahrā.iyoñ meñ
nashv-o-numā kī añgḌā.iyoñ meñ
soyā huā thā āhang-e-hastī
miTTī kī tah meñ mānūs pastī
bārāñ ke qatre ris kar baras kar
bole lahak jā rū-e-zamīñ par
sūraj kī garmī chhan-chhan ke aa.ī
bolī uTh jā le raushnā.ī
ThanDī havā.eñ nazdīk jā kar kahne lagīñ ye
us ko jagā kar
uTh jā re nanhe uTh
lahlahā jā uTh añkhḌiyoñ meñ bas jā
samā jā
zauq-e-numū ne ruup nikālā
bal khā ke uTThā nanhā sā paudā
mal mal ke āñkheñ hairat se dekhā
ākāsh dhartī kohsār dariyā
har samt dekhīñ dilkash adā.eñ
duniyā kī halchal rangīñ fazā.eñ
lahrā gayā vo fart-e-ḳhushī se
ab us ne jaane gur zindagī ke
qalb-e-zamin ki gahraiyon mein
nashw-o-numa ki angDaiyon mein
soya hua tha aahang-e-hasti
miTTi ki tah mein manus pasti
baran ke qatre ris kar baras kar
bole lahak ja ru-e-zamin par
suraj ki garmi chhan-chhan ke aai
boli uTh ja le raushnai
ThanDi hawaen nazdik ja kar kahne lagin ye
us ko jaga kar
uTh ja re nanhe uTh
lahlaha ja uTh ankhDiyon mein bas ja
sama ja
zauq-e-numu ne rup nikala
bal kha ke uTTha nanha sa pauda
mal mal ke aankhen hairat se dekha
aakash dharti kohsar dariya
har samt dekhin dilkash adaen
duniya ki halchal rangin fazaen
lahra gaya wo fart-e-KHushi se
ab us ne jaane gur zindagi ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.