nanha qasid
tirā nanhā sā qāsid jo tire ḳhat le kar aatā thā
na thā ma.alūm use kis tarah ke paiġhām laatā thā
samajh saktā na thā vo ḳhat meñ kaise raaz pinhāñ haiñ
hurūf-e-sāda meñ kis hashr ke andāz pinhāñ haiñ
use kyā ilm in rañgīñ lifāfoñ meñ chhupā kyā hai
kisī mahvash kā in ke bhejne se mudda.ā kyā hai
magar mujh ko ḳhayāl aatā thā akasr us zamāne meñ
ki us kī hairat-e-tiflī hai kyuuñ gum us fasāne meñ
vo bā.īñ kam-sinī kyā ye na dil meñ sochtā hogā
ki baajī ne hamārī apne ḳhat meñ kyā likhā hogā
aur āḳhir vo usī ko naama likh kar bhejtī kyuuñ haiñ
kabhī bhejā to bhejā lekin akasr bhejtī kyuuñ haiñ
vo pahle se ziyāda bhaa.ī ko kyuuñ pyaar kartī haiñ
lifāfa de ke lutf-e-ḳhās kā iz.hār kartī haiñ
phir aaise ajnabī par us kī baajī mehrbāñ kyuuñ haiñ
agar haiñ bhī to ghar vāloñ se ye bāteñ nihāñ kyuuñ haiñ
aur us ke shubhe kī is se bhī to tā.īd hotī hai
chhupā kar ḳhat ko le jaane kī kyuuñ tākīd hotī hai?
ye nau-ḳhez ajnabī jaane kahāñ se akasr aatā hai
jab aatā hai to baajī kī tarah ḳhat likh ke laatā hai
azīzoñ kī tarah ye kyuuñ makāñ meñ aa nahīñ saktā
jab us se pūchhtā hai vo use samjhā nahīñ saktā
khilaune de kar us ko muskurā detā hai vo akasr
aur ik halkā sā thappaḌ bhī lagā detā hai vo akasr
tire qāsid ke ye afkār dil ko gudgudāte the
aur apne bholpan se mere jazboñ ko hañsāte the
nahīñ mauqūf inhī ayyām par jab bhī ḳhayāl aayā
tasavvur tere ba.ad us kā bhī naqsha sāmne laayā
magar aaj is tarah dekhā hai vo naqsh-e-hasīñ maiñ ne
ki rakh dī ḳhāk-e-hairat par mohabbat kī jabīñ maiñ ne
vahī nanhā sā qāsid naujavāñ ho kar milā mujh ko
zamāne ke taġhayyur ne pareshāñ kar diyā mujh ko
junūn-e-ibtidā-e-ishq ne karvaT sī lī dil meñ
pas-az muddat ye le ke aa ga.ī phir apne muhmal meñ
tire qāsid se milte vaqt mujh ko sharm aatī thī
magar us kī nigāhoñ meñ sharārat muskurātī thī
sharārat kā ye nazzāra mirī hairat kā sāmāñ thā
ki is parda ke andar terā rāz-e-ishq uryāñ thā
tera nanha sa qasid jo tere KHat le kar aata tha
na tha malum use kis tarah ke paigham lata tha
samajh sakta na tha wo KHat mein kaise raaz pinhan hain
huruf-e-sada mein kis hashr ke andaz pinhan hain
use kya ilm in rangin lifafon mein chhupa kya hai
kisi mahwash ka in ke bhejne se muddaa kya hai
magar mujh ko KHayal aata tha akasr us zamane mein
ki us ki hairat-e-tifli hai kyun gum us fasane mein
wo bain kam-sini kya ye na dil mein sochta hoga
ki baji ne hamari apne KHat mein kya likha hoga
aur aaKHir wo usi ko nama likh kar bhejti kyun hain
kabhi bheja to bheja lekin akasr bhejti kyun hain
wo pahle se ziyaada bhai ko kyun pyar karti hain
lifafa de ke lutf-e-KHas ka izhaar karti hain
phir aaise ajnabi par us ki baji mehrban kyun hain
agar hain bhi to ghar walon se ye baaten nihan kyun hain
aur us ke shubhe ki is se bhi to taid hoti hai
chhupa kar KHat ko le jaane ki kyun takid hoti hai?
ye nau-KHez ajnabi jaane kahan se akasr aata hai
jab aata hai to baji ki tarah KHat likh ke lata hai
azizon ki tarah ye kyun makan mein aa nahin sakta
jab us se puchhta hai wo use samjha nahin sakta
khilaune de kar us ko muskura deta hai wo akasr
aur ek halka sa thappaD bhi laga deta hai wo akasr
tere qasid ke ye afkar dil ko gudgudate the
aur apne bholpan se mere jazbon ko hansate the
nahin mauquf inhi ayyam par jab bhi KHayal aaya
tasawwur tere baad us ka bhi naqsha samne laya
magar aaj is tarah dekha hai wo naqsh-e-hasin main ne
ki rakh di KHak-e-hairat par mohabbat ki jabin main ne
wahi nanha sa qasid naujawan ho kar mila mujh ko
zamane ke taghayyur ne pareshan kar diya mujh ko
junun-e-ibtida-e-ishq ne karwaT si li dil mein
pas-az muddat ye le ke aa gai phir apne muhmal mein
tere qasid se milte waqt mujh ko sharm aati thi
magar us ki nigahon mein shararat muskuraati thi
shararat ka ye nazzara meri hairat ka saman tha
ki is parda ke andar tera raaz-e-ishq uryan tha
- Book : kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 242)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.