nanha shahsawar
shahsavār
nanhā-munnā shahsavār
īstāda hai
ḳhamīda pusht par merī
jūñ-hī jhuktā huuñ
vo tarġhīb detā hai
mujhe chalne kī
āvāzoñ kī sargam se
maiñ chaltā huuñ
maiñ vāmāñda qadam chaltā huuñ
vo mahmez kī jumbish se kahtā hai ki dauḌo
aur dauḌo, tez-tar, sarpaT chalo
bād-e-naġhma-kār se bāteñ karo
us kā maiñ raḳhsh-e-razā
tez-tar kartā huuñ raftār-e-ḳhirām
mujh ko pahuñchānā hai aaj
us ko rañgoñ titliyoñ ke des meñ
jādū-nagar meñ
mere saa.e kā bhī ab shāyad jahāñ
muntazir koī nahīñ
muntazir haiñ us ke lekin, mere nanhe dost ke
dev-qāmat sabz vārafta-vaqār
duur tak sargoshiyāñ karte hue ashjār
raqs-e-barg-o-bār
jā rahā hai ḳhvāb kī raftār se
dīvāna-vār
merā nanhā shahsavār
The Little Rider
shahsawar
nanha-munna shahsawar
istada hai
KHamida pusht par meri
jun-hi jhukta hun
wo targhib deta hai
mujhe chalne ki
aawazon ki sargam se
main chalta hun
main wamanda qadam chalta hun
wo mahmez ki jumbish se kahta hai ki dauDo
aur dauDo, tez-tar, sarpaT chalo
baad-e-naghma-kar se baaten karo
us ka main raKHsh-e-raza
tez-tar karta hun raftar-e-KHiram
mujh ko pahunchana hai aaj
us ko rangon titliyon ke des mein
jadu-nagar mein
mere sae ka bhi ab shayad jahan
muntazir koi nahin
muntazir hain us ke lekin, mere nanhe dost ke
dew-qamat sabz warafta-waqar
dur tak sargoshiyan karte hue ashjar
raqs-e-barg-o-bar
ja raha hai KHwab ki raftar se
diwana-war
mera nanha shahsawar
The Little Rider
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.