nanha sipahi
ise maiñ ne janā hai
duudh apnā de ke paalā hai
ye ḳhākī pairahan is kā
siyā hai apne hāthoñ se
sitāre is pe Tāñke haiñ
juḌe haiñ chāñd bhī is par
mashaqqat kī hai din bhar
aur ise paise diye
jin se ḳharīdī hai khilaunā rifle is ne
baḌā naTkhaT hai
apnī rifle meñ Daal kar golī
mirī jānib uThātā hai
lablabī us kī dabātā hai
dhamāka sun ke ḳhush hotā hai
ise main ne jana hai
dudh apna de ke pala hai
ye KHaki pairahan is ka
siya hai apne hathon se
sitare is pe Tanke hain
juDe hain chand bhi is par
mashaqqat ki hai din bhar
aur ise paise diye
jin se KHaridi hai khilauna rifle is ne
baDa naTkhaT hai
apni rifle mein Dal kar goli
meri jaanib uThata hai
lablabi us ki dabaata hai
dhamaka sun ke KHush hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.