nanhi pujaran
ik nannhī munnī sī pujāran
patlī bāñheñ patlī gardan
bhor bha.e mandir aa.ī hai
aa.ī nahīñ hai maañ laa.ī hai
vaqt se pahle jaag uThī hai
niind abhī āñkhoñ meñ bharī hai
ThoḌī tak laT aa.ī huī hai
yūñhī sī lahrā.ī huī hai
āñkhoñ meñ tāroñ kī chamak hai
mukhḌe pe chāñdī kī jhalak hai
kaisī sundar hai kyā kahiye
nannhī sī ik siitā kahiye
dhuup chaḌhe taarā chamkā hai
patthar par ik phuul khilā hai
chāñd kā TukḌā phuul kī Daalī
kam-sin sīdhī bholī bhālī
haath meñ pītal kī thālī hai
kaan meñ chāñdī kī baalī hai
dil meñ lekin dhyān nahīñ hai
puujā kā kuchh gyaan nahīñ hai
kaisī bholī chhat dekh rahī hai
maañ baḌh kar chuTkī letī hai
chupke chupke hañs detī hai
hañsnā ronā us kā maz.hab
us ko puujā se kyā matlab
ḳhud to aa.ī hai mandir meñ
man us kā hai guḌiyā-ghar meñ
ek nannhi munni si pujaran
patli banhen patli gardan
bhor bhae mandir aai hai
aai nahin hai man lai hai
waqt se pahle jag uThi hai
nind abhi aankhon mein bhari hai
ThoDi tak laT aai hui hai
yunhi si lahrai hui hai
aankhon mein taron ki chamak hai
mukhDe pe chandi ki jhalak hai
kaisi sundar hai kya kahiye
nannhi si ek sita kahiye
dhup chaDhe tara chamka hai
patthar par ek phul khila hai
chand ka TukDa phul ki Dali
kam-sin sidhi bholi bhaali
hath mein pital ki thaali hai
kan mein chandi ki baali hai
dil mein lekin dhyan nahin hai
puja ka kuchh gyan nahin hai
kaisi bholi chhat dekh rahi hai
man baDh kar chuTki leti hai
chupke chupke hans deti hai
hansna rona us ka mazhab
us ko puja se kya matlab
KHud to aai hai mandir mein
man us ka hai guDiya-ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.