nannhi farhat
nannhī munnī pyārī farhat
hai māñ-bāp ke dil kī rāhat
shauq se maktab jaatī hai vo
jī paḌhne meñ lagātī hai vo
ustānī jī kī hai vo pyārī
maañ kī hai vo rāj-dulārī
ḳhuub sabaq farfar hai sunātī
maktab se in.aam hai paatī
maañ jo sabaq suntī hai ghar par
pyaar hai kartī ḳhush ho ho kar
baap hai laatā vāste us ke
chīzī kapḌe guḌiyāñ khilaune
aur bhī shauq se paḌhtī hai vo
paḌhne meñ yuuñ baḌhtī hai vo
laḌkiyoñ ko vo chhoḌ ke pīchhe
sab se nikal jaatī hai aage
itne number vo hai paatī
dang hai ustānī rah jaatī
bachchiyo tum bhī shauq se paḌhnā
aglī jamā.at meñ yuuñ chaḌhnā
madrasa bhar meñ naam bhī paao
lo shābāsh in.aam bhī paao
jī paḌhne meñ ḳhuub lagānā
tum bhī farhat ban ke dikhānā
nannhi munni pyari farhat
hai man-bap ke dil ki rahat
shauq se maktab jati hai wo
ji paDhne mein lagati hai wo
ustani ji ki hai wo pyari
man ki hai wo raj-dulari
KHub sabaq farfar hai sunati
maktab se inam hai pati
man jo sabaq sunti hai ghar par
pyar hai karti KHush ho ho kar
bap hai lata waste us ke
chizi kapDe guDiyan khilaune
aur bhi shauq se paDhti hai wo
paDhne mein yun baDhti hai wo
laDkiyon ko wo chhoD ke pichhe
sab se nikal jati hai aage
itne number wo hai pati
dang hai ustani rah jati
bachchiyo tum bhi shauq se paDhna
agli jamaat mein yun chaDhna
madrasa bhar mein nam bhi pao
lo shabash inam bhi pao
ji paDhne mein KHub lagana
tum bhi farhat ban ke dikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.