nannhi ja so ja
jab dekho to paas khaḌī hai nannhī jā so jā
tujhe bulātī hai sapnoñ kī nagrī jā so jā
ġhusse se kyuuñ ghuur rahī hai maiñ aa jā.ūñgā
kah jo diyā hai tere liye ik guḌiyā lā.ūñgā
ga.ī na zid karne kī aadat terī jā so jā
nannhī jā so jā
in kaale darvāzoñ se mat lag ke dekh mujhe
uḌ jaatī hai niiñd āñkhoñ se pā kar paas tujhe
mujh ko bhī sone de merī pyārī jā so jā
nannhī jā so jā
kyuuñ apnoñ aur begānoñ ke shikve kartī hai
kyuuñ āñkhoñ meñ aañsū lā kar aa.heñ bhartī hai
rone se kab raat kaTī hai dukh kī jā so jā
nannhī jā so jā
jab dekho to pas khaDi hai nannhi ja so ja
tujhe bulati hai sapnon ki nagri ja so ja
ghusse se kyun ghur rahi hai main aa jaunga
kah jo diya hai tere liye ek guDiya launga
gai na zid karne ki aadat teri ja so ja
nannhi ja so ja
in kale darwazon se mat lag ke dekh mujhe
uD jati hai nind aankhon se pa kar pas tujhe
mujh ko bhi sone de meri pyari ja so ja
nannhi ja so ja
kyun apnon aur beganon ke shikwe karti hai
kyun aankhon mein aansu la kar aahen bharti hai
rone se kab raat kaTi hai dukh ki ja so ja
nannhi ja so ja
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 263)
- Author : habib jaalib
- Publication : Tahir publishar,lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.