nannhi-munni qawwali
in kī bhī suneñ un kī bhī suneñ chhoTe jo hue
sunte hī raheñ kuchh bhī na kaheñ chhoTe jo hue
ham par khulī huī to sabhī kī zabān hai
ye mehrbān hai kabhī vo mehrbān hai
aa.e kisī se ḳhauf kisī kā adab kareñ
apnī to har tarah se musībat meñ jaan hai
dadhiyāl meñ phupī haiñ
nanihāl meñ ḳhāla haiñ
ye un se bhī baḌh kar haiñ
vo in se bhī a.alā haiñ
ye chiiz laao
vo chiiz laao
bāzār din meñ sau baar jaao
kyā raat hote
kyā muñh añdhere
shaam aur savere
pheroñ pe phere
bīmār jo ho jaao
sister kā kahā maano
schōl meñ jab tak ho
teacher kā kahā maano
ghar meñ jo raho bhayyā
ghar bhar kā kahā maano
satāyā apne chhoToñ ko agar ham ne baḌe ho kar
to phir vo bhī kaheñge ghar ke āñgan meñ khaḌe ho kar
in kī bhī suneñ un kī bhī suneñ chhoTe jo hue
in ki bhi sunen un ki bhi sunen chhoTe jo hue
sunte hi rahen kuchh bhi na kahen chhoTe jo hue
hum par khuli hui to sabhi ki zaban hai
ye mehrban hai kabhi wo mehrban hai
aae kisi se KHauf kisi ka adab karen
apni to har tarah se musibat mein jaan hai
dadhiyal mein phupi hain
nanihaal mein KHala hain
ye un se bhi baDh kar hain
wo in se bhi aala hain
ye chiz lao
wo chiz lao
bazar din mein sau bar jao
kya raat hote
kya munh andhere
sham aur sawere
pheron pe phere
bimar jo ho jao
sister ka kaha mano
school mein jab tak ho
teacher ka kaha mano
ghar mein jo raho bhayya
ghar bhar ka kaha mano
sataya apne chhoTon ko agar hum ne baDe ho kar
to phir wo bhi kahenge ghar ke aangan mein khaDe ho kar
in ki bhi sunen un ki bhi sunen chhoTe jo hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.