nannhi
sub.h savere jaagī thī
ammāñ ammāñ uTh nā ammāñ
ye do vo do ye naañ vo naañ
jeb bharī aur bhāgī nannhī
nāshta nannhī aa ga.ī nannhī
paanī pī kar uTThī hai yuuñ
roTī rakkhī hai juuñ kī tuuñ
saarā anDā khā ga.ī nannhī
nannhī guḌiyā khel rahī hai
guḌiyā ko ab niiñd aa.egī
uTThegī to kyā khā.egī
nannhī roTī bel rahī hai
nanhā us kā chhoTā bhaa.ī
puurā bampaT bhārī naT-khaT
har dam nannhī se hai khaTpaT
chhīn jhapaT kohrām laḌā.ī
abbā achchhe haiñ yā ammāñ
bolo to nannhī kaun achchhā
diplomatic hai javāb us kā
abbā ammāñ abbā ammāñ
jaane kyā kyā bol rahī hai
daadī ammāñ se hai galvāt
nannhī kī mīThī mīThī baat
kānoñ meñ ras ghol rahī hai
ghar bhar kī zabāñ par us kā naam
ye lā nannhī vo lā nannhī
pañkhā nannhī peḌhā nannhī
tul tul kartī hai vo sab kaam
subh sawere jagi thi
amman amman uTh na amman
ye do wo do ye nan wo nan
jeb bhari aur bhagi nannhi
nashta nannhi aa gai nannhi
pani pi kar uTThi hai yun
roTi rakkhi hai jun ki tun
sara anDa kha gai nannhi
nannhi guDiya khel rahi hai
guDiya ko ab nind aaegi
uTThegi to kya khaegi
nannhi roTi bel rahi hai
nanha us ka chhoTa bhai
pura bampaT bhaari naT-khaT
har dam nannhi se hai khaTpaT
chhin jhapaT kohram laDai
abba achchhe hain ya amman
bolo to nannhi kaun achchha
diplomatic hai jawab us ka
abba amman abba amman
jaane kya kya bol rahi hai
dadi amman se hai galwat
nannhi ki miThi miThi baat
kanon mein ras ghol rahi hai
ghar bhar ki zaban par us ka nam
ye la nannhi wo la nannhi
pankha nannhi peDha nannhi
tul tul karti hai wo sab kaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.