naqab
musalsal gar ye guftugū kā silsila
jaarī rahtā
to yaqīnan tumheñ mohabbat ho jaatī
abhī un se uns huā hī thā
ki talḳhiyāñ nazar aane lagī
shāyad vābasta the ham kabhī kahīñ
varna ḳhudāyā koī sabab to de merī
be-chainiyoñ kā
koī gila koī shikva kuchh to kar
mohabbat na sahī yaqīnan
par ye shīre se ghule lahje kā
parda faash to kar
musalsal gar ye guftugu ka silsila
jari rahta
to yaqinan tumhein mohabbat ho jati
abhi un se uns hua hi tha
ki talKHiyan nazar aane lagi
shayad wabasta the hum kabhi kahin
warna KHudaya koi sabab to de meri
be-chainiyon ka
koi gila koi shikwa kuchh to kar
mohabbat na sahi yaqinan
par ye shire se ghule lahje ka
parda fash to kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.