naqab-posh
ai mere bad-nasīb baap
chīḳh chīḳh kar ronā
kuchh bhī sābit nahīñ kartā
vaqt
kuchh bhī nahīñ hai
aur hairat-zada darvāze
ye to roz kā mo.āmla hai
engine ke ko.ele kī tarah
jal na uThnā
varna
raakh kī tarah uñDel diye jāoge
ai mere bad-nasīb baap
zindagī kī chhoTī bandar-gāhoñ par
baḌe jahāz lañgar-andāz nahīñ hote
kuchh ajiib nahīñ ki tum
hamesha sāhil par khaḌe rahe
ye tumhārā apnā mas.ala thā
ki tum ne
maujoñ ko vāpas lauTne ke liye chhoḌ diyā
tum un par savār na ho sake
aur jahāz apne bādbān lahrāte hue
guzarte ga.e
aur ham
jo tā-umr ek hī tarah kī zindagī jiine par majbūr the
apnī apnī jagah ḳhud-farāmoshī kī dāstān likhte rahe
intizār karte rahe ek na.e din kā
ek na.ī mauj kā
ek na.e bādbān ke phuul uThne kā
ham ne vaqt ko apnā javāz banāyā
ubalte dariyā
ātish-ḳhor peḌ
ek be-intihā zamīn
ek be-barg āsmān
ai mere bad-nasīb baap
merā mālik ġhulāmī ke liye nahīñ banā
magar tum jo ham logoñ se bilkul alag the
tum tā-umr naqāb-posh rahe
jab ki ham
apnī tamām koshishoñ ke bāvajūd
apne chehroñ tak pahuñch na paa.e
ai mere bad-nasib bap
chiKH chiKH kar rona
kuchh bhi sabit nahin karta
waqt
kuchh bhi nahin hai
aur hairat-zada darwaze
ye to roz ka moamla hai
engine ke koele ki tarah
jal na uThna
warna
rakh ki tarah unDel diye jaoge
ai mere bad-nasib bap
zindagi ki chhoTi bandar-gahon par
baDe jahaz langar-andaz nahin hote
kuchh ajib nahin ki tum
hamesha sahil par khaDe rahe
ye tumhaara apna masala tha
ki tum ne
maujon ko wapas lauTne ke liye chhoD diya
tum un par sawar na ho sake
aur jahaz apne baadban lahraate hue
guzarte gae
aur hum
jo ta-umr ek hi tarah ki zindagi jine par majbur the
apni apni jagah KHud-faramoshi ki dastan likhte rahe
intizar karte rahe ek nae din ka
ek nai mauj ka
ek nae baadban ke phul uThne ka
hum ne waqt ko apna jawaz banaya
ubalte dariya
aatish-KHor peD
ek be-intiha zamin
ek be-barg aasman
ai mere bad-nasib bap
mera malik ghulami ke liye nahin bana
magar tum jo hum logon se bilkul alag the
tum ta-umr naqab-posh rahe
jab ki hum
apni tamam koshishon ke bawajud
apne chehron tak pahunch na pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.