naqaben
niilī piilī harī gulābī
maiñ ne sab rañgīn naqābeñ
apnī jeboñ meñ bhar lī haiñ
ab merā chehra nañgā hai
bilkul nañgā
ab!
mere sāthī hī mujh par
pag pag
patthar pheñk rahe haiñ
shāyad vo
mere chehre meñ apnā chehra dekh rahe haiñ
nili pili hari gulabi
main ne sab rangin naqaben
apni jebon mein bhar li hain
ab mera chehra nanga hai
bilkul nanga
ab!
mere sathi hi mujh par
pag pag
patthar phenk rahe hain
shayad wo
mere chehre mein apna chehra dekh rahe hain
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 97)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.