naqli phul
maiñ ne jab pahle-pahal dekhā thā
ye mujhe kitne bhale lagte the
tum ne gul-dān meñ rakkhā thā inheñ
thī mire kamre kī zīnat in se
aur ab thak ga.iiñ āñkheñ merī
dekhte dekhte sūrat in kī
ye mahakte haiñ, na kumhlāte haiñ
din inheñ chhū ke nikal jaate haiñ
kaash mausam kī amal-dārī meñ
ye bhī pāband-e-taġhayyur hote
jab ye khilte to koī chun chun kar
gūñdhtā in kī laḌī juuḌe meñ
aur jab un pe ḳhizāñ aa jaatī
pheñk detā maiñ inheñ kuuḌe meñ
main ne jab pahle-pahal dekha tha
ye mujhe kitne bhale lagte the
tum ne gul-dan mein rakkha tha inhen
thi mere kamre ki zinat in se
aur ab thak gain aankhen meri
dekhte dekhte surat in ki
ye mahakte hain, na kumhlate hain
din inhen chhu ke nikal jate hain
kash mausam ki amal-dari mein
ye bhi paband-e-taghayyur hote
jab ye khilte to koi chun chun kar
gundhta in ki laDi juDe mein
aur jab un pe KHizan aa jati
phenk deta main inhen kuDe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.