naqli sher
ik gadhe ko milī jo sher kī khaal
us ke dil meñ ajab ye aayā ḳhayāl
maiñ jahāñ chāhūñ Daal duuñ Derā
saare jangal pe raaj ho merā
pahn kar khaal sher ban baiThā
jānvar vo diler ban baiThā
us se Darte the jānvar saare
jaan jaatī thī ḳhauf ke maare
ek aisā bhī din magar aayā
ik gadhā paas aa ke chillāyā
bhuul kar phir to sher kā cholā
ye gadhā bhī usī tarah bolā
sunte hī sher se gadhe ke bol
khul ga.ī lamha bhar meñ saarī poll
khaal vo chhoḌ-chhāḌ kar bhāgā
bhaag saktā thā jis qadar bhāgā
bolā dil meñ vo ho ke sharminda
chaal apnī chalūñgā ā.inda
ek gadhe ko mili jo sher ki khaal
us ke dil mein ajab ye aaya KHayal
main jahan chahun Dal dun Dera
sare jangal pe raj ho mera
pahn kar khaal sher ban baiTha
jaanwar wo diler ban baiTha
us se Darte the jaanwar sare
jaan jati thi KHauf ke mare
ek aisa bhi din magar aaya
ek gadha pas aa ke chillaya
bhul kar phir to sher ka chola
ye gadha bhi usi tarah bola
sunte hi sher se gadhe ke bol
khul gai lamha bhar mein sari poll
khaal wo chhoD-chhaD kar bhaga
bhag sakta tha jis qadar bhaga
bola dil mein wo ho ke sharminda
chaal apni chalunga aainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.