naqsh bar-diwar
matā-e-dard ko sāhab shu.ūr kho baiThe
sabāt-e-azm ko mard-e-ġhuyūr kho baiThe
nazar se mahv hai ummul-kitāb kī tafsīr
huzūr ma.anī-e-ġhaib-o-zuhūr kho baiThe
gayā jo haath se īmān to tahayyur kyā
vafūr-e-aish meñ taḳht-o-qusūr kho baiThe
dil-o-dimāġh se ruḳhsat jihād kā jazba
sabīl-e-haq ke zarūrī umuur kho baiThe
ḳhudī se baaqī thī maz.hab kī aabrū thoḌī
sharāb-e-faqr kā husn-e-surūr kho baiThe
ġharīb millat-e-ma.asūm kā ḳhudā-hāfiz
faqīh-e-shahr tadayyun kā nuur kho baiThe
qulūb zinda se afsos hāshmī farzand
charāġh ishq-e-ilāhī kā nuur kho baiThe
jahāñ meñ kaise ho me.arāj-e-zindagī hāsil
yaqīñ kī ruuh ko sadrussudūr kho baiThe
hakīm-o-ārif-o-sūfī haiñ naqsh bar-dīvār
dil-o-dimāġh se anvār-e-tūr kho baiThe
zalīl sāhab-e-qur.āñ ho ye nahīñ mumkin
zarūr husn-e-amal ko huzūr kho baiThe
uvais o bū-zar o usmān ke atā-karda
mazāq-e-faqr-e-mohammad zarūr kho baiThe
ḳhulūs-e-dil se thī 'bebāk' shā.erī raushan
payambarī ke suḳhnavar shu.ūr kho baiThe
mata-e-dard ko sahab shuur kho baiThe
sabaat-e-azm ko mard-e-ghuyur kho baiThe
nazar se mahw hai ummul-kitab ki tafsir
huzur mani-e-ghaib-o-zuhur kho baiThe
gaya jo hath se iman to tahayyur kya
wafur-e-aish mein taKHt-o-qusur kho baiThe
dil-o-dimagh se ruKHsat jihad ka jazba
sabil-e-haq ke zaruri umur kho baiThe
KHudi se baqi thi mazhab ki aabru thoDi
sharab-e-faqr ka husn-e-surur kho baiThe
gharib millat-e-masum ka KHuda-hafiz
faqih-e-shahr tadayyun ka nur kho baiThe
qulub zinda se afsos hashmi farzand
charagh ishq-e-ilahi ka nur kho baiThe
jahan mein kaise ho mearaj-e-zindagi hasil
yaqin ki ruh ko sadrussudur kho baiThe
hakim-o-arif-o-sufi hain naqsh bar-diwar
dil-o-dimagh se anwar-e-tur kho baiThe
zalil sahab-e-quran ho ye nahin mumkin
zarur husn-e-amal ko huzur kho baiThe
uwais o bu-zar o usman ke ata-karda
mazaq-e-faqr-e-mohammad zarur kho baiThe
KHulus-e-dil se thi 'bebak' shaeri raushan
payambari ke suKHnawar shuur kho baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.