naqsh-e-pa
ye nīm-ḳhvāb ghaas par udaas udaas naqsh-e-pā
kuchal rahā hai shabnamī libās kī hayāt ko
vo motiyoñ kī bārisheñ fazā meñ jazb ho ga.iiñ
jo ḳhāk-dān-e-tīra par baras rahī thiiñ raat ko
ye rahravān-e-zindagī ḳhabar nahīñ kahāñ ga.e
vo kaun sā jahān hai azal nahīñ abad nahīñ
darāz se darāz-tar haiñ halqa-hā-e-roz-o-shab
ye kis maqām par huuñ maiñ ki bandishoñ kī had nahīñ
hai markaz-e-nigāh par chaTān sī khaḌī huī
udhar chaTān se pare vasī.a-tar hai tīrgī
use phalāñg bhī gayā to is taraf ḳhabar nahīñ
adam ḳharāb-tar mile na maut ho na zindagī
hazār baar chāhtā huuñ bandishoñ ko toḌ duuñ
magar ye āhanī rasan ye halqa-hā-e-bandagī
lipaT ga.e haiñ paañv se lahū meñ jazb ho ga.e
maiñ naqsh-pā-e-umr huuñ fareb-ḳhurda-e-ḳhushī
koī nayā ufuq nahīñ jahāñ nazar na aa sakeñ
ye zard zard sūrateñ ye haDDiyoñ ke joḌ se
havā ke bāzuoñ meñ kaash itnī taab aa sake
dikhā sakeñ vo ahd-e-nau hī zindagī ke moḌ se
ye nim-KHwab ghas par udas udas naqsh-e-pa
kuchal raha hai shabnami libas ki hayat ko
wo motiyon ki barishen faza mein jazb ho gain
jo KHak-dan-e-tira par baras rahi thin raat ko
ye rahrawan-e-zindagi KHabar nahin kahan gae
wo kaun sa jahan hai azal nahin abad nahin
daraaz se daraaz-tar hain halqa-ha-e-roz-o-shab
ye kis maqam par hun main ki bandishon ki had nahin
hai markaz-e-nigah par chaTan si khaDi hui
udhar chaTan se pare wasia-tar hai tirgi
use phalang bhi gaya to is taraf KHabar nahin
adam KHarab-tar mile na maut ho na zindagi
hazar bar chahta hun bandishon ko toD dun
magar ye aahani rasan ye halqa-ha-e-bandagi
lipaT gae hain panw se lahu mein jazb ho gae
main naqsh-pa-e-umr hun fareb-KHurda-e-KHushi
koi naya ufuq nahin jahan nazar na aa saken
ye zard zard suraten ye haDDiyon ke joD se
hawa ke bazuon mein kash itni tab aa sake
dikha saken wo ahd-e-nau hi zindagi ke moD se
- Book : Kulliyat-e-Akhtaruliman (Pg. 56)
- Author : Baidar Bakht
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.