nargis-e-mastana
Interesting Fact
KHitaab-ba- asGar gondvi
apnā hī sā ai nargis-e-mastāna banā de
maiñ jab tujhe jānūñ mujhe dīvāna banā de
har qaid se har rasm se begāna banā de
dīvāna banā de mujhe dīvāna banā de
ik barq-e-adā ḳhirman-e-hastī pe girā kar
nazroñ ko mirī tuur kā afsāna banā de
har dil hai tirī bazm meñ labrez-e-mai-e-ishq
ik aur bhī paimāna se paimāna banā de
tū sāqi-e-mai-ḳhāna bhī tū nashsha o mai bhī
maiñ tishna-e-hastī mujhe mastāna banā de
allāh ne tujh ko mai o mai-ḳhāna banāyā
tū saarī fazā ko mai o mai-ḳhāna banā de
tū sāqi-e-mai-ḳhāna hai maiñ rind-e-balā-nosh
mere liye mai-ḳhāne ko paimāna banā de
yā dīda-o-dil meñ mire tū aap samā jā
yā phir dil-o-dīda hī ko vīrāna banā de
qatre meñ vo dariyā hai jo aalam ko Dubo de
zarre meñ vo sahrā hai ki dīvāna banā de
lekin mujhe har qaid-e-ta.ayyun se bachā kar
jo chāhe vo ai nargis-e-mastāna banā de
aalam to hai dīvāna jigar! husn kī ḳhātir
tū apne liye husn ko dīvāna banā de
kab tak nigah-e-yār na hogī mutabassim
tū apnā har andāz harīfāna banā de
munkir tū na ban husn ke e.ajāz-e-nazar kā
kahne ke liye apne ko begāna banā de
jab tak karam-e-ḳhās kā dariyā na umañD aa.e
tū aur bhī haal apnā safīhāna banā de
but-ḳhāne aa nikle to ka.aba kī binā Daal
ka.abe meñ pahuñch jaa.e to but-ḳhāna banā de
jo mauj uThe dil se tire josh-e-talab meñ
sar rakh ke vahīñ sajda-e-shukrāna banā de
jab mā.il-e-altāf nazar aa.e vo ḳhud-bīñ
tū har nigah-e-shauq ko afsāna banā de
kaunain bhī mil jaa.e to dāman ko na phailā
kaunain ko bhūlā huā afsāna banā de
phir arz kar is tarah 'jigar' shauq o adab se
bebāk agar jur.at-e-rindāna banā de
tujh ko nigah-e-yār! qasam mere junūñ kī
nāseh ko bhī merā hī sā dīvāna banā de
maiñ huuñ tire qadmoñ meñ mujhe kuchh nahīñ kahnā
ab jo bhī tirā lutf-e-karīmāna banā de
apna hi sa ai nargis-e-mastana bana de
main jab tujhe jaanun mujhe diwana bana de
har qaid se har rasm se begana bana de
diwana bana de mujhe diwana bana de
ek barq-e-ada KHirman-e-hasti pe gira kar
nazron ko meri tur ka afsana bana de
har dil hai teri bazm mein labrez-e-mai-e-ishq
ek aur bhi paimana se paimana bana de
tu saqi-e-mai-KHana bhi tu nashsha o mai bhi
main tishna-e-hasti mujhe mastana bana de
allah ne tujh ko mai o mai-KHana banaya
tu sari faza ko mai o mai-KHana bana de
tu saqi-e-mai-KHana hai main rind-e-bala-nosh
mere liye mai-KHane ko paimana bana de
ya dida-o-dil mein mere tu aap sama ja
ya phir dil-o-dida hi ko virana bana de
qatre mein wo dariya hai jo aalam ko Dubo de
zarre mein wo sahra hai ki diwana bana de
lekin mujhe har qaid-e-tayyun se bacha kar
jo chahe wo ai nargis-e-mastana bana de
aalam to hai diwana jigar! husn ki KHatir
tu apne liye husn ko diwana bana de
kab tak nigah-e-yar na hogi mutabassim
tu apna har andaz harifana bana de
munkir tu na ban husn ke eajaz-e-nazar ka
kahne ke liye apne ko begana bana de
jab tak karam-e-KHas ka dariya na umanD aae
tu aur bhi haal apna safihana bana de
but-KHane aa nikle to kaba ki bina Dal
kabe mein pahunch jae to but-KHana bana de
jo mauj uThe dil se tere josh-e-talab mein
sar rakh ke wahin sajda-e-shukrana bana de
jab mail-e-altaf nazar aae wo KHud-bin
tu har nigah-e-shauq ko afsana bana de
kaunain bhi mil jae to daman ko na phaila
kaunain ko bhula hua afsana bana de
phir arz kar is tarah 'jigar' shauq o adab se
bebak agar jurat-e-rindana bana de
tujh ko nigah-e-yar! qasam mere junun ki
naseh ko bhi mera hi sa diwana bana de
main hun tere qadmon mein mujhe kuchh nahin kahna
ab jo bhi tera lutf-e-karimana bana de
- Book : Kulliyat-e-jigar (Pg. 416)
- Author : Jigar Muradabadi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.