nargis fatima dekh rahi hai
sūraj kā darvāza khultā hai
raat kī kālak se kajlā.ī
miTTī kā chehra utrā hai
nargis fātima taaza qabr kī khiḌkī khol ke
jhāñk rahī hai
maut kī pahlī sub.h kā manzar
afsurda hai
qabristān ko jaane vaale raste par
vīrānī ke sannāTe haiñ
ham-sā.ī qabroñ meñ jaise
kafūrī sakte kā nauha phail chukā hai
duur kahīñ duniyā ke siine meñ
sāñsoñ kā lohā
kundan karne vaale
umr-e-azīz ke halq meñ
siskī kā ik chhallā TuuT gayā hai
māhir surgeon
bāñhoñ meñ nākāmī kā ḳhamyāza bhar kar
soch rahā hai
kār-e-masīhā.ī kā da.avā
jis lamhe ījād huā thā
vo saa.at
insānī vaqt ke hisse meñ aa paa.ī nahīñ
be-samtī kī zard lakīroñ par chalnā dānā.ī nahīñ
nabbāzī ke nashtar se bhī
maut kā patthar nokīlā hai
nargis fātima dekh rahī hai
operation theatre ke andar
surgeon kī mazbūt āñkhoñ ne kamzorī se Tek lagā kar
harakat karnā chhoḌ diyā hai
suraj ka darwaza khulta hai
raat ki kalak se kajlai
miTTi ka chehra utra hai
nargis fatima taza qabr ki khiDki khol ke
jhank rahi hai
maut ki pahli subh ka manzar
afsurda hai
qabristan ko jaane wale raste par
virani ke sannaTe hain
ham-sai qabron mein jaise
kafuri sakte ka nauha phail chuka hai
dur kahin duniya ke sine mein
sanson ka loha
kundan karne wale
umr-e-aziz ke halq mein
siski ka ek chhalla TuT gaya hai
mahir surgeon
banhon mein nakaami ka KHamyaza bhar kar
soch raha hai
kar-e-masihai ka dawa
jis lamhe ijad hua tha
wo saat
insani waqt ke hisse mein aa pai nahin
be-samti ki zard lakiron par chalna danai nahin
nabbazi ke nashtar se bhi
maut ka patthar nokila hai
nargis fatima dekh rahi hai
operation theatre ke andar
surgeon ki mazbut aankhon ne kamzori se Tek laga kar
harakat karna chhoD diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.