narm aawazon ke bich
narm āvāzoñ se ik niilī ḳhamoshī hai ravāñ
yak-ba-yak uḌ ga.e
vo kaale parind
jin ke sāyoñ se shuāoñ meñ thī ik be-ḳhvābī
ab vahī ḳhufta-mizājī vahī be-harf ḳhumār
narm āvāzoñ kī thapkī se
ye sab hosh o havās
apne iz.hār ke bahte hue dariyā kī jagah
barf kī jhiil bane
chīḳh jo naġhma-e-āzād sī lahrātī thī
naġhme meñ ġharq huī
vasl kī shab meñ vahī sham.a banī
thartharātī hī rahī
hoñT jo teġha-e-ejāz pe chaspāñ the vo sab
ik sahāfī kā qalam ban ke rahe be-ma.anī
narm āvāzoñ ke sailāb meñ ai kaash kabhī
hādsa ho koī kashtī kisī sāhil se kahīñ Takrā jaa.e
phailtī raat kabhī tharrā jaa.e
narm aawazon se ek nili KHamoshi hai rawan
yak-ba-yak uD gae
wo kale parind
jin ke sayon se shuaon mein thi ek be-KHwabi
ab wahi KHufta-mizaji wahi be-harf KHumar
narm aawazon ki thapki se
ye sab hosh o hawas
apne izhaar ke bahte hue dariya ki jagah
barf ki jhil bane
chiKH jo naghma-e-azad si lahraati thi
naghme mein gharq hui
wasl ki shab mein wahi shama bani
thartharaati hi rahi
honT jo tegha-e-ejaz pe chaspan the wo sab
ek sahafi ka qalam ban ke rahe be-mani
narm aawazon ke sailab mein ai kash kabhi
hadsa ho koi kashti kisi sahil se kahin Takra jae
phailti raat kabhi tharra jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.