nasab-nama
maiñ aur aadam
vahāñ purāne peḌ ke nīche
roz ikaTThā hote the
vo lakḌī se
pahiye aur shahtīr banāyā kartā thā
maiñ peḌoñ aur phūloñ se
rañg kashīd kiyā kartī thī
phir ham donoñ ne mil kar
ik pesha ījād kiyā
aur ek qabīla janam diyā
jab se ab tak
ham ko ek nasab-nāme kī zarūrat hai
main aur aadam
wahan purane peD ke niche
roz ikaTTha hote the
wo lakDi se
pahiye aur shahtir banaya karta tha
main peDon aur phulon se
rang kashid kiya karti thi
phir hum donon ne mil kar
ek pesha ijad kiya
aur ek qabila janam diya
jab se ab tak
hum ko ek nasab-name ki zarurat hai
- Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 92)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.