nasab-nama
mire ajdād ke girte hue hujre ke
mehrāb-e-ḳhamīda meñ
kisī sandal ke sandūq-e-tabarruq meñ
hiran kī khaal par likkhā huā shajara bhī rakkhā hai
ki jis par lājavrdī dā.eroñ meñ
zāfrānī raushnā.ī se
mire saare aqārib ke muqaddas naam likkhe haiñ
magar ik dā.era aisā bhī hai
jis meñ se lagtā hai
ki kuchh khurchā gayā hai
maiñ in khurche hue lafzoñ kā vāris huuñ
mere ajdad ke girte hue hujre ke
mehrab-e-KHamida mein
kisi sandal ke sanduq-e-tabarruq mein
hiran ki khaal par likkha hua shajara bhi rakkha hai
ki jis par lajawrdi daeron mein
zafrani raushnai se
mere sare aqarib ke muqaddas nam likkhe hain
magar ek daera aisa bhi hai
jis mein se lagta hai
ki kuchh khurcha gaya hai
main in khurche hue lafzon ka waris hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.