nasha baqi hai
karūñgā fat.h koī shaam to maiñ utrūñgā ulajhtī saañs ke kīkar se aur
ḳhvāboñ se raft-o-būd ke us paar
abad ke husn-e-harīrī ke safed se phuul apnī palkoñ pe chun sakūñgā maiñ
maiñ ban sakūñgā ḳhud apnā libās ḳhud apnā tār-e-nafas
na sun sakūñgā koī lafz koī nazm aur koī āvāz
sukūt-e-zāt meñ lamhoñ kī chaap tak na aa.egī
chamakte hosh-o-havās thak chukeñ to savād-e-shām meñ
so.e hue shajar ke tale paḌāv Dālte haiñ
purānī yādoñ ke rañgīñ parinde shajar se nīche utarte haiñ
udaas āñkhoñ ke purāne ghar meñ ḳhayāl-o-ḳhvāb
kā malbūs pahne aate haiñ
maiñ nanhe tifl ke mānind unheñ pakaḌne khulī niim ujlī
vādiyoñ meñ dauḌtā huuñ
kahīñ pe pair phisaltā hai aur dhaḌām se nīche kaalī khā.īyoñ
meñ Dūbtā huuñ
aañkh khultī hai
chahār-samt añdherā hai añdhere meñ sapedī
koī rañg koī libās nahīñ
koī ḳhushbū koī baas nahīñ
baḌī hī der talak ghūrte añdhere meñ
rafta rafta ghule haiñ siyāhī mujh meñ aur maiñ
siyāhī meñ
athāh niiñd ke sāhil pe saarī umr ke daaġh
tamām nasl ke saare gunāh dhulte haiñ
magar havās kahāñ chhoḌte haiñ jism ke rog
savere pahlī kiran raushnī kī jaise hī jhilmilātī hai
ḳhvābīda aañkh kulbulātī hai
athāh niiñd ke sāhil pe dhuup phailtī hai
daaġh ujāloñ meñ phir chamakne lagte haiñ
saare gunāh añdherī ruuh ke tāqoñ pe
phir charāġh kī mānind jalne lagte haiñ
na shaam fat.h huī aur na sub.h fat.h huī
raat fat.h huī aur na baat fat.h huī
vahī huuñ maiñ vahī din raat aur vahī man-o-tū
vahī zamāna vahī yādeñ aur vahī ḳhvāb
nasha utarne pe vahī maḳhlūq aur vahī duniyā
vahīñ haiñ motareñ vahī rāste vahī shahr aur vahī gaañv
vahī hai biivī vahī bachche vahī ghar aur vahī chhāñv
karūñgā fat.h koī shaam to maiñ utrūñgā
tire kināre (mere rū-ba-rū) ki jahāñ
na koī sub.h na shaam aur na koī niiñd na ḳhvāb
na koī rasta na manzil na koī ghar hai na ghāT!
karunga fath koi sham to main utrunga ulajhti sans ke kikar se aur
KHwabon se raft-o-bud ke us par
abad ke husn-e-hariri ke safed se phul apni palkon pe chun sakunga main
main ban sakunga KHud apna libas KHud apna tar-e-nafas
na sun sakunga koi lafz koi nazm aur koi aawaz
sukut-e-zat mein lamhon ki chap tak na aaegi
chamakte hosh-o-hawas thak chuken to sawad-e-sham mein
soe hue shajar ke tale paDaw Dalte hain
purani yaadon ke rangin parinde shajar se niche utarte hain
udas aankhon ke purane ghar mein KHayal-o-KHwab
ka malbus pahne aate hain
main nanhe tifl ke manind unhen pakaDne khuli nim ujli
wadiyon mein dauDta hun
kahin pe pair phisalta hai aur dhaDam se niche kali khaiyon
mein Dubta hun
aankh khulti hai
chahaar-samt andhera hai andhere mein sapedi
koi rang koi libas nahin
koi KHushbu koi bas nahin
baDi hi der talak ghurte andhere mein
rafta rafta ghule hain siyahi mujh mein aur main
siyahi mein
athah nind ke sahil pe sari umr ke dagh
tamam nasl ke sare gunah dhulte hain
magar hawas kahan chhoDte hain jism ke rog
sawere pahli kiran raushni ki jaise hi jhilmilati hai
KHwabida aankh kulbulati hai
athah nind ke sahil pe dhup phailti hai
dagh ujalon mein phir chamakne lagte hain
sare gunah andheri ruh ke taqon pe
phir charagh ki manind jalne lagte hain
na sham fath hui aur na subh fath hui
raat fath hui aur na baat fath hui
wahi hun main wahi din raat aur wahi man-o-tu
wahi zamana wahi yaaden aur wahi KHwab
nasha utarne pe wahi maKHluq aur wahi duniya
wahin hain motaren wahi raste wahi shahr aur wahi ganw
wahi hai biwi wahi bachche wahi ghar aur wahi chhanw
karunga fath koi sham to main utrunga
tere kinare (mere ru-ba-ru) ki jahan
na koi subh na sham aur na koi nind na KHwab
na koi rasta na manzil na koi ghar hai na ghaT!
- Book : saughat-shumara-number-002-magazines (Pg. 231)
- Edition : (1992)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.