nashat-e-umid
ai mirī ummīd merī jāñ-navāz
ai mirī dil-soz merī kārsāz
merī sipar aur mire dil kī panāh
dard-o-musībat meñ mirī takiya-gāh
aish meñ aur rañj maiñ merī shafīq
koh meñ aur dasht meñ merī rafīq
kāTne vaalī ġham-e-ayyām kī
thāmne vaalī dil-e-nākām kī
dil pa paḌā aan ke jab koī dukh
tere dilāse se milā ham ko sukh
tū ne na chhoḌā kabhī ġhurbat meñ saath
tū ne uThāyā na kabhī sar se haath
jī ko ho kabhī agar usrat kā rañj
khol diye tū nai qanā.at ke ganj
tujh se hai mohtāj kā dil be-hirās
tujh se hai bīmār ko jiine kī aas
ḳhātir-e-ranjūr kā darmāñ hai tū
āshiq-e-mahjūr kā īmāñ hai tū
nuuh kī kashtī kā sahārā thī tū
chaah meñ yūsuf kī dil-ārā thī tū
raam ke ham-rāh chaḌhī ran meñ tū
pāñDav ke bhī saath phirī ban meñ tū
tū ne sadā qais kā bahlāyā dil
thaam liyā jab kabhī ghabrāyā dil
ho gayā farhād kā qissa tamām
par tire fiqroñ pe rahā ḳhush mudām
tū ne hī rāñjhe kī ye bañdhvāī aas
hiir thī furqat meñ bhī goyā ki paas
hotī hai tū pusht pe himmat kī jab
mushkileñ āsāñ nazar aatī haiñ sab
haath meñ jab aa ke liyā tū ne haat
saat samundar se guzarnā hai baat
saath milā jis ko tirā do qadam
kahtā hai vo ye hai arab aur ajam
ghoḌe kī lī apne jahāñ tū ne baag
sāmne hai tere gayā aur praag
azm ko jab detī hai tū mel jast
gumbad-e-gardūñ nazar aatā hai past
tū ne diyā aa ke ubhārā jahāñ
samjhe ki muTThī meñ hai saarā jahāñ
zarre ko ḳhurshīd meñ de khapā
bande ko allāh se de tū milā
donoñ jahāñ kī hai bañdhī tujh se laḌ
diin kī tū asl hai duniyā kī jaḌ
nekiyoñ kī tujh se hai qaa.em asaas
tū na ho to jaa.eñ na nekī ke paas
diin kī tujh bin kahīñ pursish na ho
tū na ho to haq kī parastish na ho
ḳhushk thā bin tere daraḳht-e-amal
tū ne lagā.e haiñ ye sab phuul phal
dil ko lubhātī hai kabhī ban ke huur
gaah dikhātī hai sharāb-e-tahūr
naam hai sidra kabhī tuubā tirā
roz nirālā hai tamāshā tirā
kausar o tasnīm hai yā salsabīl
jalve haiñ sab tere ye be-qāl-o-qīl
ruup haiñ har panth meñ tere alag
hai kahīñ firdaus kahīñ hai sovarg
chhūT ga.e saare qarīb aur ba.iid
ek na chhūTī to na chhūTī umiid
tere hī dam se kaTe jo din the saḳht
tere hī sadqe se milā tāj-o-taḳht
ḳhākiyoñ kī tujh se hai himmat buland
tū na ho to kaam hoñ duniyā ke band
tujh se hī ābād hai kaun-o-makāñ
tū na ho to hai bhī barham jahāñ
koī paḌtā phirtā hai bahr-e-ma.āsh
hai koī iksīr ko kartā talāsh
ik tamannā meñ hai aulād kī
ek ko dil-dār kī hai lau lagī
ek ko hai dhan jo kuchh haath aa.e
dhuum se aulād kī shādī rachā.e
ek ko kuchh aaj agar mil gayā
kal kī hai ye fikr ki khā.eñge kyā
qaum kī bahbūd kā bhūkā hai ek
jin meñ ho un ke liye anjām-e-nek
ek ko hai tishnagī-e-qurb-e-haq
jis ne kiyā dil se jigar tak hai shaq
jo hai ġharaz us kī na.ī justujū
laakh agar dil haiñ to laakh aarzū
tujh se haiñ dil sab ke magar baaġh baaġh
gul koī hone nahīñ paatā charāġh
sab ye samajhte haiñ ki paa.ī murād
kahtī hai jab tū ki ab aa.ī murād
va.ada tirā raast ho yā ho daroġh
tū ne diye haiñ use kyā kyā faroġh
va.ade vafā kartī hai go chand tū
rakhtī hai har ek ko ḳhursand tū
bhātī hai sab ko tirī lait-o-la.al
tū ne kahāñ sīkhī hai ye aaj kal
talḳh ko tū chāhe to shīrīñ kare
bazm-e-azā ko tarab-āgīñ kare
aane na de rañj ko muflis ke paas
rakhe ġhanī us ko rahe jis ke paas
yaas kā paatī hai jo tū kuchh lagāv
saikḌoñ kartī hai utaar aur chaḌhāo
aane nahīñ detī diloñ par hirās
TūTne detī nahīñ tālib kī aas
jin ko mayassar na ho kamlī phaTī
ḳhush haiñ tavaqqo.a pe vo zar-baft kī
chaTnī se roTī kā hai jin kī banāv
baiThe pakāte haiñ ḳhayālī polāv
paañv meñ juutī nahīñ par hai ye zauq
ghoḌā jo sabza ho to niilā ho tauq
faiz ke khole haiñ jahāñ tū ne baab
dekhte haiñ jhoñpaḌe mahloñ ke ḳhvāb
tere karishme haiñ ġhazab dil-fareb
dil meñ nahīñ chhoḌte sabr-o-shakeb
tujh se muhavvis ne jo shūrā liyā
phūñk diyā kaan meñ kyā jaane kyā
dil se bhulāyā zan o farzand ko
lag gayā ghun naḳhl-e-baromañd ko
khāne se piine se huā sard jī
aisī kuchh iksīr kī hai lau lagī
diin kī hai fikr na duniyā se kaam
dhun hai yahī raat din aur sub.h shaam
dhoñknī hai baiTh ke jab dhoñknā
shah ko samajhtā hai ik adnā gadā
paise ko jab taav pe detā hai taav
pūchhtā yāroñ se hai sone kā bhaav
kahtā hai jab hañste haiñ sab dekh kar
rah ga.ī ik aañch kī baaqī kasar
hai isī dhuñd meñ vo āsūda-hāl
tū ne diyā aql pe parda sā Daal
tol kar gar dekhiye us kī ḳhushī
koī ḳhushī is ko na pahuñche kabhī
phirte haiñ mohtāj ka.ī tīra-baḳht
jan ke pairoñ meñ thā kabhī tāj-o-taḳht
aaj jo bartan haiñ to kal ghar karo
maltī hai mushkil se inheñ nān-e-jau
taire sivā ḳhaak nahīñ in ke paas
saarī ḳhudā.ī meñ hai le de ke aas
phūle samāte nahīñ is aas par
sāhib-e-ālam unheñ kahiye agar
khāte haiñ is aas pa qasmeñ ajiib
jhūTe ko ho taḳht na yā-rab nasīb
hotā hai naumīdiyoñ kā jab hujūm
aatī hai hasrat kī ghaTā jhuum jhuum
lagtī hai himmat kī kamar TūTne
hausla kā lagtā hai jī chhūTne
hotī hai be-sabrī o tāqat meñ jañg
arsa-e-ālam nazar aatā hai tañg
jī meñ ye aatā hai ki sam khā.iye
phaaḌ ke yā kapḌe nikal jā.iye
baiThne lagtā hai dil aave kī tarah
yaas Darātī hai chhalāve kī tarah
hotā hai shikva kabhī taqdīr kā
uḌtā hai ḳhāka kabhī tadbīr kā
Thantī hai gardūñ se laḌā.ī kabhī
hotī hai qismat kī hañsā.ī kabhī
jaatā hai qaabū se āḳhir dil nikal
kartī hai in mushkiloñ ko tū hī hal
kaan meñ pahuñchī tirī aahaT jo haiñ
raḳht-e-safar yaas nai bāñdhā vahīñ
saath ga.ī yaas ke pazhmurdagī
ho ga.ī kāfūr sab afsurdagī
tujh meñ chhupā rāhat-e-jāñ kā hai bhed
chhoḌiyo 'hālī' kā na saath ai umiid
ai meri ummid meri jaan-nawaz
ai meri dil-soz meri karsaz
meri sipar aur mere dil ki panah
dard-o-musibat mein meri takiya-gah
aish mein aur ranj main meri shafiq
koh mein aur dasht mein meri rafiq
kaTne wali gham-e-ayyam ki
thamne wali dil-e-nakaam ki
dil pa paDa aan ke jab koi dukh
tere dilase se mila hum ko sukh
tu ne na chhoDa kabhi ghurbat mein sath
tu ne uThaya na kabhi sar se hath
ji ko ho kabhi agar usrat ka ranj
khol diye tu nai qanaat ke ganj
tujh se hai mohtaj ka dil be-hiras
tujh se hai bimar ko jine ki aas
KHatir-e-ranjur ka darman hai tu
aashiq-e-mahjur ka iman hai tu
nuh ki kashti ka sahaara thi tu
chah mein yusuf ki dil-ara thi tu
ram ke ham-rah chaDhi ran mein tu
panDaw ke bhi sath phiri ban mein tu
tu ne sada qais ka bahlaya dil
tham liya jab kabhi ghabraya dil
ho gaya farhad ka qissa tamam
par tere fiqron pe raha KHush mudam
tu ne hi ranjhe ki ye bandhwai aas
hir thi furqat mein bhi goya ki pas
hoti hai tu pusht pe himmat ki jab
mushkilen aasan nazar aati hain sab
hath mein jab aa ke liya tu ne hat
sat samundar se guzarna hai baat
sath mila jis ko tera do qadam
kahta hai wo ye hai arab aur ajam
ghoDe ki li apne jahan tu ne bag
samne hai tere gaya aur prag
azm ko jab deti hai tu mel jast
gumbad-e-gardun nazar aata hai past
tu ne diya aa ke ubhaara jahan
samjhe ki muTThi mein hai sara jahan
zarre ko KHurshid mein de khapa
bande ko allah se de tu mila
donon jahan ki hai bandhi tujh se laD
din ki tu asl hai duniya ki jaD
nekiyon ki tujh se hai qaem asas
tu na ho to jaen na neki ke pas
din ki tujh bin kahin pursish na ho
tu na ho to haq ki parastish na ho
KHushk tha bin tere daraKHt-e-amal
tu ne lagae hain ye sab phul phal
dil ko lubhati hai kabhi ban ke hur
gah dikhati hai sharab-e-tahur
nam hai sidra kabhi tuba tera
roz nirala hai tamasha tera
kausar o tasnim hai ya salsabil
jalwe hain sab tere ye be-qal-o-qil
rup hain har panth mein tere alag
hai kahin firdaus kahin hai sowarg
chhuT gae sare qarib aur baid
ek na chhuTi to na chhuTi umid
tere hi dam se kaTe jo din the saKHt
tere hi sadqe se mila taj-o-taKHt
KHakiyon ki tujh se hai himmat buland
tu na ho to kaam hon duniya ke band
tujh se hi aabaad hai kaun-o-makan
tu na ho to hai bhi barham jahan
koi paDta phirta hai bahr-e-maash
hai koi iksir ko karta talash
ek tamanna mein hai aulad ki
ek ko dil-dar ki hai lau lagi
ek ko hai dhan jo kuchh hath aae
dhum se aulad ki shadi rachae
ek ko kuchh aaj agar mil gaya
kal ki hai ye fikr ki khaenge kya
qaum ki bahbud ka bhuka hai ek
jin mein ho un ke liye anjam-e-nek
ek ko hai tishnagi-e-qurb-e-haq
jis ne kiya dil se jigar tak hai shaq
jo hai gharaz us ki nai justuju
lakh agar dil hain to lakh aarzu
tujh se hain dil sab ke magar bagh bagh
gul koi hone nahin pata charagh
sab ye samajhte hain ki pai murad
kahti hai jab tu ki ab aai murad
wada tera rast ho ya ho darogh
tu ne diye hain use kya kya farogh
wade wafa karti hai go chand tu
rakhti hai har ek ko KHursand tu
bhati hai sab ko teri lait-o-lal
tu ne kahan sikhi hai ye aaj kal
talKH ko tu chahe to shirin kare
bazm-e-aza ko tarab-agin kare
aane na de ranj ko muflis ke pas
rakhe ghani us ko rahe jis ke pas
yas ka pati hai jo tu kuchh lagaw
saikDon karti hai utar aur chaDhao
aane nahin deti dilon par hiras
TuTne deti nahin talib ki aas
jin ko mayassar na ho kamli phaTi
KHush hain tawaqqoa pe wo zar-baft ki
chaTni se roTi ka hai jin ki banaw
baiThe pakate hain KHayali polaw
panw mein juti nahin par hai ye zauq
ghoDa jo sabza ho to nila ho tauq
faiz ke khole hain jahan tu ne bab
dekhte hain jhonpaDe mahlon ke KHwab
tere karishme hain ghazab dil-fareb
dil mein nahin chhoDte sabr-o-shakeb
tujh se muhawwis ne jo shura liya
phunk diya kan mein kya jaane kya
dil se bhulaya zan o farzand ko
lag gaya ghun naKHl-e-baromand ko
khane se pine se hua sard ji
aisi kuchh iksir ki hai lau lagi
din ki hai fikr na duniya se kaam
dhun hai yahi raat din aur subh sham
dhonkni hai baiTh ke jab dhonkna
shah ko samajhta hai ek adna gada
paise ko jab taw pe deta hai taw
puchhta yaron se hai sone ka bhaw
kahta hai jab hanste hain sab dekh kar
rah gai ek aanch ki baqi kasar
hai isi dhund mein wo aasuda-haal
tu ne diya aql pe parda sa Dal
tol kar gar dekhiye us ki KHushi
koi KHushi is ko na pahunche kabhi
phirte hain mohtaj kai tira-baKHt
jan ke pairon mein tha kabhi taj-o-taKHt
aaj jo bartan hain to kal ghar karo
malti hai mushkil se inhen nan-e-jau
taire siwa KHak nahin in ke pas
sari KHudai mein hai le de ke aas
phule samate nahin is aas par
sahib-e-alam unhen kahiye agar
khate hain is aas pa qasmen ajib
jhuTe ko ho taKHt na ya-rab nasib
hota hai naumidiyon ka jab hujum
aati hai hasrat ki ghaTa jhum jhum
lagti hai himmat ki kamar TuTne
hausla ka lagta hai ji chhuTne
hoti hai be-sabri o taqat mein jang
arsa-e-alam nazar aata hai tang
ji mein ye aata hai ki sam khaiye
phaD ke ya kapDe nikal jaiye
baiThne lagta hai dil aawe ki tarah
yas Daraati hai chhalawe ki tarah
hota hai shikwa kabhi taqdir ka
uDta hai KHaka kabhi tadbir ka
Thanti hai gardun se laDai kabhi
hoti hai qismat ki hansai kabhi
jata hai qabu se aaKHir dil nikal
karti hai in mushkilon ko tu hi hal
kan mein pahunchi teri aahaT jo hain
raKHt-e-safar yas nai bandha wahin
sath gai yas ke pazhmurdagi
ho gai kafur sab afsurdagi
tujh mein chhupa rahat-e-jaan ka hai bhed
chhoDiyo 'haali' ka na sath ai umid
- Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 29)
- Author : Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
- Edition : 2005-2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.