nasihat
kahnā na kisī se apne jī kī
hai baat ye laakh ashrafī kī
jo baat kare kare samajh kar
pahchān yahī hai aadmī kī
sun lo jo kare koī nasīhat
kaḌvī mālūm ho ki phīkī
fauran hī maañg lī muāfī
bhūle se ḳhatā agar kabhī kī
khaao taras un pe jo haiñ bekas
taklīf se ḳhush na ho kisī kī
aa.ine ko dil ke saaf rakho
jamne na do gard dushmanī kī
kahna na kisi se apne ji ki
hai baat ye lakh ashrafi ki
jo baat kare kare samajh kar
pahchan yahi hai aadmi ki
sun lo jo kare koi nasihat
kaDwi malum ho ki phiki
fauran hi mang li muafi
bhule se KHata agar kabhi ki
khao taras un pe jo hain bekas
taklif se KHush na ho kisi ki
aaine ko dil ke saf rakho
jamne na do gard dushmani ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.