nasri nazm
dil tumheñ yaad kartā hai
aa jaao
ki un rāstoñ par abhī tak
tere qadmoñ ke nishāñ haiñ
us rāste kī dhuul
pāgaloñ kī tarah terī judā.ī kā bain kartī hai
aa jaao
dil tumheñ yaad kartā hai
vo sāya-dār shajar vo phūloñ kī Dāliyāñ
jin ke nīche ham ne
kuchh lamhe saath guzāre the
aaj bhī terī yaad meñ nam haiñ
ik anmiT sā sukūt taarī hai
jo har chiiz par taarī hai
tamām ḳhushiyāñ ham par bhārī haiñ
aa jaao
dil tumheñ yaad kartā hai
ham zindagī se begāne ho chale haiñ
bichhaḌ ke tujh se dīvāne ho chale haiñ
rotī hai mere saath havā
bikhar ga.e ho ke tum se judā
aa jaao
dil tumheñ yaad kartā hai
kab aaoge
tab aaoge jab bujh jā.eñgī āñkheñ merī
jab TuuT jā.eñgī sāñseñ merī
aa jaao
dil tumheñ yaad kartā hai
ki in rāstoñ par abhī tak
tere qadmoñ ke nishāñ haiñ
dil tumhein yaad karta hai
aa jao
ki un raston par abhi tak
tere qadmon ke nishan hain
us raste ki dhul
pagalon ki tarah teri judai ka bain karti hai
aa jao
dil tumhein yaad karta hai
wo saya-dar shajar wo phulon ki Daliyan
jin ke niche hum ne
kuchh lamhe sath guzare the
aaj bhi teri yaad mein nam hain
ek anmiT sa sukut tari hai
jo har chiz par tari hai
tamam KHushiyan hum par bhaari hain
aa jao
dil tumhein yaad karta hai
hum zindagi se begane ho chale hain
bichhaD ke tujh se diwane ho chale hain
roti hai mere sath hawa
bikhar gae ho ke tum se juda
aa jao
dil tumhein yaad karta hai
kab aaoge
tab aaoge jab bujh jaengi aankhen meri
jab TuT jaengi sansen meri
aa jao
dil tumhein yaad karta hai
ki in raston par abhi tak
tere qadmon ke nishan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.