natija chahiye har shai ka
mujhe na.aroñ se raġhbat hai
vo mere ḳhuun kī hiddat kā baa.is haiñ
vo merī zindagī kā juzv-e-lā-yanfak
hazāroñ saal se mere irādoñ hausloñ aur valvaloñ kī
dāstānoñ meñ numāyāñ haiñ
vo merī zaat ke ā.īna-ḳhāne meñ musalsal raqs karte haiñ
zamāne merī yādoñ se phisal kar sāmne aa.e
to maiñ ik dasht-e-imkāñ se nikal kar muskurā uTThā
mire atrāf meñ rañgoñ kī bārish thī
havāoñ meñ ḳhushī tahlīl ho kar rāhat-e-jāñ thī
ḳhunuk paanī ke chashme duudh kī nahreñ
mirī ḳhvāhish pe bahte the
sabhī asmār mere ik ishāre par mirī jholī meñ aa girte
har ik jānib hasīñ phūloñ ke taḳhte the
ḳhirāmāñ sā.atoñ kī be-karānī merā hāsil thī
ḳhirāmāñ sā.ateñ lekin mujhe kab raas aa.ī haiñ
sukūñ lā-hāsilī kā be-natīja zindagī kā bāb-e-avval hai
natīja chāhiye
har shai kā ik āġhāz ik anjām hotā hai
usī lamhe mirī āñkhoñ pe ik kauñdā sā lapkā thā
usī lamhe zabāñ par ek na.ara thā baġhāvat kā
baġhāvat kā ki apnī zaat ke elaan karne kā
mujhe naron se raghbat hai
wo mere KHun ki hiddat ka bais hain
wo meri zindagi ka juzw-e-la-yanfak
hazaron sal se mere iradon hauslon aur walwalon ki
dastanon mein numayan hain
wo meri zat ke aaina-KHane mein musalsal raqs karte hain
zamane meri yaadon se phisal kar samne aae
to main ek dasht-e-imkan se nikal kar muskura uTTha
mere atraf mein rangon ki barish thi
hawaon mein KHushi tahlil ho kar rahat-e-jaan thi
KHunuk pani ke chashme dudh ki nahren
meri KHwahish pe bahte the
sabhi asmar mere ek ishaare par meri jholi mein aa girte
har ek jaanib hasin phulon ke taKHte the
KHiraman saaton ki be-karani mera hasil thi
KHiraman saaten lekin mujhe kab ras aai hain
sukun la-hasili ka be-natija zindagi ka bab-e-awwal hai
natija chahiye
har shai ka ek aaghaz ek anjam hota hai
usi lamhe meri aankhon pe ek kaunda sa lapka tha
usi lamhe zaban par ek nara tha baghawat ka
baghawat ka ki apni zat ke elan karne ka
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 464)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.