nau-umri aur piri
kal kī baat hai
kitne shauq se maiñ ye nazm paḌhā kartā thā
maiñ nau-umr thā
piirī ḳhud se sadiyoñ duur nazar aatī thī
ab maiñ piirī kī dahlīz pe aa pahuñchā huuñ
bachpan aur javānī mujh ko bilkul yaad nahīñ haiñ
jaise in advār se maiñ guzrā hī nahīñ
kal ki baat hai
kitne shauq se main ye nazm paDha karta tha
main nau-umr tha
piri KHud se sadiyon dur nazar aati thi
ab main piri ki dahliz pe aa pahuncha hun
bachpan aur jawani mujh ko bilkul yaad nahin hain
jaise in adwar se main guzra hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.