nauha-e-jaan
maiñ thā āvāra-o-barjasta-ḳhirām
aurāq-e-bandagī us kī panāh
nāma-e-ishq thā rishtoñ kā javāz
barq-rau meñ bhī thā kuchh vo bhī rahā
ishq-e-ehsās-e-junūñ ke āsār
kuchh ajab tarah bane naqsh-o-nigār
fart-e-jazbāt se
is darja rahe ham larzāñ
tīsrī quvvat-e-vasvās kahāñ se aa.ī
aur
phir TuuT gayā
larza-bar-andām ta.alluq kā pul
sabz armānoñ pe
vo os paḌī mat pūchho
ab to vo
sahn-e-taḳhayyul bhī hai muddat se udaas
gaahe gaahe
kisī pahlū-e-falak meñ jānāñ
kuchh chaman-zār mahak uThte haiñ
aur
aatī hai sadā-e-bulbul
ishq vo os kā qatra hai
jis ke paḌte hī
TuuT jaatī hai surāhī gul kī
main tha aawara-o-barjasta-KHiram
auraq-e-bandagi us ki panah
nama-e-ishq tha rishton ka jawaz
barq-rau mein bhi tha kuchh wo bhi raha
ishq-e-ehsas-e-junun ke aasar
kuchh ajab tarah bane naqsh-o-nigar
fart-e-jazbaat se
is darja rahe hum larzan
tisri quwwat-e-waswas kahan se aai
aur
phir TuT gaya
larza-bar-andam talluq ka pul
sabz armanon pe
wo os paDi mat puchho
ab to wo
sahn-e-taKHayyul bhi hai muddat se udas
gahe gahe
kisi pahlu-e-falak mein jaanan
kuchh chaman-zar mahak uThte hain
aur
aati hai sada-e-bulbul
ishq wo os ka qatra hai
jis ke paDte hi
TuT jati hai surahi gul ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.