nauha-e-shabnam
sūraj chandā aur sitāre
kal phir nikleñge ye saare
shāyad kal kī sub.h na dekheñ
phuul khile jo aaj niyāre
gulchīñ baiThā ghaat lagā.e
jo bhaa.e chun-chun le jaa.e
bach nikle jo nazar se us kī
ik do din meñ vo murjhā.e
hashr guloñ kā dekh ke aisā
man hī man kaliyāñ muskā.eñ
ro.e shabnam soch ke haa.e
kab tak kaliyāñ ḳhair manā.eñ
suraj chanda aur sitare
kal phir niklenge ye sare
shayad kal ki subh na dekhen
phul khile jo aaj niyare
gulchin baiTha ghat lagae
jo bhae chun-chun le jae
bach nikle jo nazar se us ki
ek do din mein wo murjhae
hashr gulon ka dekh ke aisa
man hi man kaliyan muskaen
roe shabnam soch ke hae
kab tak kaliyan KHair manaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.