nauha
mujh ko shikva hai mire bhaa.ī ki tum jaate hue
le ga.e saath mirī umr-e-guzishta kī kitāb
is meñ to merī bahut qīmtī tasvīreñ thiiñ
is meñ bachpan thā mirā aur mirā ahd-e-shabāb
is ke badle mujhe tum de ga.e jaate jaate
apne ġham kā ye damaktā huā ḳhūñ-rañg gulāb
kyā karūñ bhaa.ī ye e.azāz meñ kyūñ-kar pahnūñ
mujh se le lo mirī sab chaak qamīsoñ kā hisāb
āḳhirī baar hai lo maan lo ik ye bhī savāl
aaj tak tum se maiñ lauTā nahīñ māyūs-e-javāb
aa ke le jaao tum apnā ye damaktā huā phuul
mujh ko lauTā do mirī umr-e-guzishta kī kitāb
mujh ko shikwa hai mere bhai ki tum jate hue
le gae sath meri umr-e-guzishta ki kitab
is mein to meri bahut qimti taswiren thin
is mein bachpan tha mera aur mera ahd-e-shabab
is ke badle mujhe tum de gae jate jate
apne gham ka ye damakta hua KHun-rang gulab
kya karun bhai ye eazaz mein kyun-kar pahnun
mujh se le lo meri sab chaak qamison ka hisab
aaKHiri bar hai lo man lo ek ye bhi sawal
aaj tak tum se main lauTa nahin mayus-e-jawab
aa ke le jao tum apna ye damakta hua phul
mujh ko lauTa do meri umr-e-guzishta ki kitab
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 153)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.