nauha
siyah-rāt meñ TimTimāte sitāroñ ke nīche
ḳharoshāñ samundar kī maujeñ tujhe DhūñDhtī haiñ
ḳharoshāñ havā kī sadāoñ meñ terī sadā hai
mirā dil tujhe DhūñDhtā hai
siyah-rāt ashkoñ kī shabnam meñ soī huī hai
har ik pal har ik lamha maazī kā
zinda hai maujūd meñ jāgtā hai
magar terā paikar
tah-e-ḳhāk añdheroñ ke māman meñ soyā huā hai
mirā dil ki mātam-gar-e-raftagāñ hai
tujhe DhūñDhtā hai
maiñ āsūda-e-reg-e-ḳhāmosh
us raat kī jaltī āñkhoñ ko dekhūñ
siyah-rāt meñ TimTimāte hue
un sitāroñ se pūchhūñ
ḳharoshāñ samundar meñ Duubā huā chāñd
kisī ajnabī sar zamīñ par tabassum-kunāñ hai
nuqūsh-e-kaf-e-pā kī manzil kahāñ hai?
yam-e-zindagī sail-dar-sail bahtā huā
ek lamhe ko ruk kar palaT kar na dekhe
siyah-rāt meñ TimTimāte sitāroñ ke nīche
faqat ek shab be-sadā jāgtī hai
shab-e-be-sadā pūchhtī hai
biphartī huī mauj-e-dariyā kidhar se chalī thii?
kidhar ko chalī hai?
mirā dil ki mātam-gar-e-raftagāñ hai
kise DhūñDhtā hai
siyah-raat mein TimTimate sitaron ke niche
KHaroshan samundar ki maujen tujhe DhunDhti hain
KHaroshan hawa ki sadaon mein teri sada hai
mera dil tujhe DhunDhta hai
siyah-raat ashkon ki shabnam mein soi hui hai
har ek pal har ek lamha mazi ka
zinda hai maujud mein jagta hai
magar tera paikar
tah-e-KHak andheron ke maman mein soya hua hai
mera dil ki matam-gar-e-raftagan hai
tujhe DhunDhta hai
main aasuda-e-reg-e-KHamosh
us raat ki jalti aankhon ko dekhun
siyah-raat mein TimTimate hue
un sitaron se puchhun
KHaroshan samundar mein Duba hua chand
kisi ajnabi sar zamin par tabassum-kunan hai
nuqush-e-kaf-e-pa ki manzil kahan hai?
yam-e-zindagi sail-dar-sail bahta hua
ek lamhe ko ruk kar palaT kar na dekhe
siyah-raat mein TimTimate sitaron ke niche
faqat ek shab be-sada jagti hai
shab-e-be-sada puchhti hai
bipharti hui mauj-e-dariya kidhar se chali thi?
kidhar ko chali hai?
mera dil ki matam-gar-e-raftagan hai
kise DhunDhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.