nauha
ye kaisī sāzish hai jo havāoñ meñ bah rahī hai
maiñ terī yādoñ kī saarī sham.eñ
bujhā ke ḳhvāboñ meñ chal rahā huuñ
tirī mohabbat mujhe nadāmat se dekhtī hai
vo ābgīna huuñ ḳhvāhishoñ kā
ki dhīre dhīre pighal rahā huuñ
ye merī āñkhoñ meñ
kaisā sahrā ubhar rahā hai
maiñ ball-rūmoñ meñ bujh rahā huuñ
sharāb-ḳhānoñ meñ jal rahā huuñ
jo mere andar dhaḌak rahā thā
vo mar rahā hai
ye kaisi sazish hai jo hawaon mein bah rahi hai
main teri yaadon ki sari shamen
bujha ke KHwabon mein chal raha hun
teri mohabbat mujhe nadamat se dekhti hai
wo aabgina hun KHwahishon ka
ki dhire dhire pighal raha hun
ye meri aankhon mein
kaisa sahra ubhar raha hai
main ball-rumon mein bujh raha hun
sharab-KHanon mein jal raha hun
jo mere andar dhaDak raha tha
wo mar raha hai
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 209)
- Author : NCPUL, New Delhi
- Publication : Khalilur Rahman Azmi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.