nauha
ziist aur maut kī sard-o-vīrān sī
do qayāmat numā sarhadeñ
aur pahlū meñ in sarhadoñ ke
vo dhundlī sī bujhtī huī ik lakīr
jis kī dahlīz par āḳhirī saañs lete hue
ruuTh kar ham se koī
jo is muḳhtasar fāsle se guzar jā.egā
lauT kar vo nahīñ aa.egā
sard rātoñ meñ ham us ko āvāz deñ to javāban hameñ
guuñj kī sūrat apnī hī āvāz aatī rahegī
maut ke sard hoñToñ pe jumbish na hogī
par unheñ sard tārīk rātoñ ke siine pe tum dekhnā
kal hameñ ik sitārā chamaktā nazar aa.egā
aur ḳhāmoshiyoñ meñ hameñ jā-ba-jā ek aahaT sī mahsūs hogī
zist aur maut ki sard-o-viran si
do qayamat numa sarhaden
aur pahlu mein in sarhadon ke
wo dhundli si bujhti hui ek lakir
jis ki dahliz par aaKHiri sans lete hue
ruTh kar hum se koi
jo is muKHtasar fasle se guzar jaega
lauT kar wo nahin aaega
sard raaton mein hum us ko aawaz den to jawaban hamein
gunj ki surat apni hi aawaz aati rahegi
maut ke sard honTon pe jumbish na hogi
par unhen sard tarik raaton ke sine pe tum dekhna
kal hamein ek sitara chamakta nazar aaega
aur KHamoshiyon mein hamein ja-ba-ja ek aahaT si mahsus hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.