nauha
na marne kā Dar hai
na jiine meñ koī mazā hai
ḳhalā hī ḳhalā hai
har ik chiiz jaise
andhere meñ gum ho ga.ī hai
ujāle kī ik ik kiran kho ga.ī hai
har ik aarzū so ga.ī hai
gunah meñ bhī ab koī lazzat nahīñ hai
vo dozaḳh nahīñ
ab vo jannat nahīñ hai
koī bhī nahīñ hai
bas ab maiñ huuñ
aur merā sunsān dil hai
ḳhudā ke na hone kā ġham
kis qadar jāñ-gusil hai
na marne ka Dar hai
na jine mein koi maza hai
KHala hi KHala hai
har ek chiz jaise
andhere mein gum ho gai hai
ujale ki ek ek kiran kho gai hai
har ek aarzu so gai hai
gunah mein bhi ab koi lazzat nahin hai
wo dozaKH nahin
ab wo jannat nahin hai
koi bhi nahin hai
bas ab main hun
aur mera sunsan dil hai
KHuda ke na hone ka gham
kis qadar jaan-gusil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.