mirī navā-e-pareshāñ darūn-e-gumbad-e-‘aish
bhaTak rahī hai kisī dil kī aarzū ban kar
kabhī ye barbat-o-chang-o-rabāb kī sūrat
machal rahī hai ḳhunak uñgliyoñ kī jumbish meñ
kabhī jarāhat-e-paikāñ se muztarib ho kar
tamām tīroñ ko tarkash se khīñch laatī hai
kabhī gumān kī sūrat kabhī yaqīñ kī tarah
samā.ī jaatī hai shaffāf ābgīnoñ meñ
sulag rahī hai jo sham’-e-mashām-e-jāñ ban kar
tarāz-e-gul kī javāñ mushk-bez rātoñ meñ
ye chāñdnī kī qabā oḌh kar bhaTaktī huī
sulagte tāroñ kī mai-gūñ surāhiyāñ le kar
ye shabnamī sī fazā os khaa.e ġhuncha-o-gul
ye phūTtī huī kirneñ ye dhuup ye kohsār
ye baḌhte ghaTte se saa.e ye haath uThā.e hue
du'ā.eñ māñgte paikar haiñ yā ki haiñ ashjār
mirī navā-e-pareshāñ se muztarib kyoñ haiñ