patañg uḌāne
maiñ ghar se niklā
to ik za.iif aadmī ne
nārāzgī ke lahje meñ
mujh ko Tokā ki
is fazā meñ
na uḌ sakegī patañg terī
har ek jānib
siyāh bādal haiñ āsmāñ par
na-jāne kab
ek tez bārish
kī zad meñ aa kar
patañg terī jo bhiig jaa.e
to ho ke be-jān
jism us kā
zamīñ pe Tapke
zarā tavaqquf ke baad us ne
ye raa.e bhī dī
patañg-bāzī kā shauq
aisā hī hai tujhe to
patañg uḌāne se pahle
apnī patañg ke jism-e-nā-tavāñ ko
zarūr waterprōf kar le
patang uDane
main ghar se nikla
to ek zaif aadmi ne
naraazgi ke lahje mein
mujh ko Toka ki
is faza mein
na uD sakegi patang teri
har ek jaanib
siyah baadal hain aasman par
na-jaane kab
ek tez barish
ki zad mein aa kar
patang teri jo bhig jae
to ho ke be-jaan
jism us ka
zamin pe Tapke
zara tawaqquf ke baad us ne
ye rae bhi di
patang-bazi ka shauq
aisa hi hai tujhe to
patang uDane se pahle
apni patang ke jism-e-na-tawan ko
zarur waterproof kar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.