ye rañg-o-bū ye nazāre ye bazm-ārā.ī
niyāz-o-nāz-o-adā husn ishq ra.anā.ī
shabāb-e-nazm-o-ġhazal dar pai-e-shakebā.ī
mujhe ye sā.at-guzrāñ kahāñ pe le aa.ī
qarār dekh liyā iztirār dekh liyā
ġham-e-habīb ġham-e-rozgār dekh liyā
udaas chehroñ pe uḌtā ġhubār dekh liyā
navā-e-shauq ko be-iḳhtiyār dekh liyā
ḳhizāñ-gazīda sā rañg-e-bahār dekh liyā
gumāñ-darīda yaqīn taar taar dekh liyā
tamām ishva-e-husn-e-nigār dekh liyā
junūñ kā sajda sar-e-kū-e-yār dekh liyā
savād-e-aql-o-ḳhirad be-vaqār dekh liyā
rahā na ḳhud kā bhī phir e'tibār dekh liyā
kabhī jo dekhā na thā baar baar dekh liyā
na ibtidā kī ḳhabar hai na intihā ma.alūm
navishta-e-pas-e-dīvar kyā hai kyā ma.alūm