naya aadam
barsoñ kī riyāzat ke ba.ad
zindagī ke tamām numāyāñ usūloñ ke
faulād bante hue se dā.eroñ ko
toḌ kar
Thiik dil ke bīchoñ-bīch
ek inch chhed karne kī kāmyāb training
ham ne le lī hai
aur ab to
jis thālī meñ khāte haiñ
us meñ chhed karne kā gur bhī hameñ aa gayā hai
maanā ki darindoñ ke bhī
shikār karne ke apne usuul hote haiñ
ThanDe aur garm gosht kī
unheñ bhī tamīz hotī hai
ek ham haiñ
ki kis darja kamtar ho ga.e haiñ
phir bhī hamārī afzaliyat
har jagah barqarār hai
ki ham ashraf-e-maḳhlūq kahlāte haiñ
lekin aaj
hameñ ye e'tirāf karnā hī paḌegā ki
concrete ke bane is jañgal meñ
haivān-e-nātiq se kahīñ behtar
ye jañgalī suar hote haiñ
barson ki riyazat ke baad
zindagi ke tamam numayan usulon ke
faulad bante hue se daeron ko
toD kar
Thik dil ke bichon-bich
ek inch chhed karne ki kaamyab training
hum ne le li hai
aur ab to
jis thaali mein khate hain
us mein chhed karne ka gur bhi hamein aa gaya hai
mana ki darindon ke bhi
shikar karne ke apne usul hote hain
ThanDe aur garm gosht ki
unhen bhi tamiz hoti hai
ek hum hain
ki kis darja kamtar ho gae hain
phir bhi hamari afzaliyat
har jagah barqarar hai
ki hum ashraf-e-maKHluq kahlate hain
lekin aaj
hamein ye e'tiraf karna hi paDega ki
concrete ke bane is jangal mein
haiwan-e-natiq se kahin behtar
ye jangali suar hote hain
- Book : Aatish Fishan (Pg. 26)
- Author : shamim qasmi
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.