naya aahang
kirāman-kātibīn a.amāl-nāma likh ke le jaa.eñ
dikhā.eñ ḳhāliq-e-kaun-o-makāñ ko aur samjhā.eñ
ma.ānī aur lafzoñ meñ vo rishta ab nahīñ baaqī
luġhat alfāz kā ik Dher hai lafzoñ pe mat jaanā
nayā āhañg hotā hai murattab lafz o ma.anī kā
mire haq meñ abhī kuchh faisla sādir na farmānā
maiñ jis din ā.ūñgā taaza luġhat hamrāh lā.ūñgā
kiraman-katibin aamal-nama likh ke le jaen
dikhaen KHaliq-e-kaun-o-makan ko aur samjhaen
maani aur lafzon mein wo rishta ab nahin baqi
lughat alfaz ka ek Dher hai lafzon pe mat jaana
naya aahang hota hai murattab lafz o mani ka
mere haq mein abhi kuchh faisla sadir na farmana
main jis din aaunga taza lughat hamrah launga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.