naya ahd-nama
barsoñ se ye bām-o-dar ki jin par
mahkī huī sub.h ke haiñ bose
yādoñ ke yahī nagar ki jin par
sajte haiñ ye shaam ke dhundalke
ye moḌ ye rahguzar ki jin par
lagte haiñ udāsiyoñ ke mele
haiñ mere aziiz mere sāthī
kab se mirā aasrā rahe haiñ
sunte haiñ ye mere dil kī dhaḌkan
jaise ye mujhe sikhā rahe haiñ
hañs-bol ke umr kaaT denā
mere yahī dast-o-pā rahe haiñ
barsoñ se ye merī zindagī haiñ
barsoñ se maiñ in ko jāntā huuñ
haiñ merī vafā pe ye bhī nāzāñ
har baat maiñ in kī māntā huuñ
lekin mire dil ko kyā huā hai
maiñ aaj kuchh aur Thāntā huuñ
lagtā hai ye shahr-e-dil-barāñ bhī
hai paañv kī mere koī zanjīr
bas ek hī raat ek din hai
har roz vahī purānī tasvīr
har sub.h vahī purāne chehre
ho jaate haiñ shaam ko jo dil-gīr
ab aur kahīñ se chal ke dekheñ
kis tarah sahar kī narm kaliyāñ
kirnoñ kā salām le rahī haiñ
jaag uThtī haiñ kis tarah se galiyāñ
sab kaam pe aise jā rahe haiñ
jaise ki manā.eñ rañg-raliyāñ
dekheñ kahīñ shaam ko nikal kar
Dhalte hue ajnabī se saa.e
yuuñ haath meñ haath le rahe hoñ
jaise kahīñ ghaas sarsarā.e
is tarah se paañv chal rahe hoñ
jaise ka.ī pī ke laḌkhaḌā.e
aane hī ko hoñ milan kī ghaḌiyāñ
sūraj kahīñ ġham kā Dūbtā ho
mahkī ho kahīñ pe shab kī dulhan
kachnār kahīñ pe khil rahā ho
har gaam pe ik nayā ho aalam
har moḌ pe ik nayā ḳhudā ho
barson se ye baam-o-dar ki jin par
mahki hui subh ke hain bose
yaadon ke yahi nagar ki jin par
sajte hain ye sham ke dhundalke
ye moD ye rahguzar ki jin par
lagte hain udasiyon ke mele
hain mere aziz mere sathi
kab se mera aasra rahe hain
sunte hain ye mere dil ki dhaDkan
jaise ye mujhe sikha rahe hain
hans-bol ke umr kaT dena
mere yahi dast-o-pa rahe hain
barson se ye meri zindagi hain
barson se main in ko jaanta hun
hain meri wafa pe ye bhi nazan
har baat main in ki manta hun
lekin mere dil ko kya hua hai
main aaj kuchh aur Thanta hun
lagta hai ye shahr-e-dil-baran bhi
hai panw ki mere koi zanjir
bas ek hi raat ek din hai
har roz wahi purani taswir
har subh wahi purane chehre
ho jate hain sham ko jo dil-gir
ab aur kahin se chal ke dekhen
kis tarah sahar ki narm kaliyan
kirnon ka salam le rahi hain
jag uThti hain kis tarah se galiyan
sab kaam pe aise ja rahe hain
jaise ki manaen rang-raliyan
dekhen kahin sham ko nikal kar
Dhalte hue ajnabi se sae
yun hath mein hath le rahe hon
jaise kahin ghas sarsarae
is tarah se panw chal rahe hon
jaise kai pi ke laDkhaDae
aane hi ko hon milan ki ghaDiyan
suraj kahin gham ka Dubta ho
mahki ho kahin pe shab ki dulhan
kachnar kahin pe khil raha ho
har gam pe ek naya ho aalam
har moD pe ek naya KHuda ho
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 361)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.