davāoñ kī almāriyoñ se sajī ik dukāñ meñ
marīzoñ ke amboh meñ muzmahil sā
ik insāñ khaḌā hai
jo ik niilī kubḌī sī shīshī ke siine pe likkhe hue
ek ik harf ko ġhaur se paḌh rahā hai
magar us pe to ''zahr'' likhkhā huā hai
us insān ko kyā maraz hai
ye kaisī davā hai?
dawaon ki almariyon se saji ek dukan mein
marizon ke amboh mein muzmahil sa
ek insan khaDa hai
jo ek nili kubDi si shishi ke sine pe likkhe hue
ek ek harf ko ghaur se paDh raha hai
magar us pe to zahr likhkha hua hai
us insan ko kya maraz hai
ye kaisi dawa hai?
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 201)
- Author : NCPUL, New Delhi
- Publication : Khalilur Rahman Azmi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.