naya calendar
farvarī phūloñ kī gaaḌī pe savār aatī hai
march aatā hai to bāġhoñ meñ bahār aatī hai
ham ne ballā jo ghumāyā to ka.ī bhaag liye
ek chauke hī meñ april may bhaag liye
tez garmī ne pasīne meñ nahāyā ham ko
june july ne do maah satāyā ham ko
ye ḳhabar le ke august aur sitambar aa.e
imtihānoñ meñ baḌī shaan ke number aa.e
yaad karte haiñ sabaq leTe hue bistar meñ
likhne paḌhne kā maza aatā hai october meñ
yaad rah rah ke hameñ das kā pahāḌā aayā
jab bhī aayā hai november hameñ jaaḌā aayā
garm muffler se jo kānoñ ko chhupāyā ham ne
tāliyāñ de ke december ko bhagāyā ham ne
phir na.e saal kā matlab hameñ samjhātī hai
january sabz dupaTTe meñ chalī aatī hai
farwari phulon ki gaDi pe sawar aati hai
march aata hai to baghon mein bahaar aati hai
hum ne balla jo ghumaya to kai bhag liye
ek chauke hi mein april may bhag liye
tez garmi ne pasine mein nahaya hum ko
june july ne do mah sataya hum ko
ye KHabar le ke august aur sitambar aae
imtihanon mein baDi shan ke number aae
yaad karte hain sabaq leTe hue bistar mein
likhne paDhne ka maza aata hai october mein
yaad rah rah ke hamein das ka pahaDa aaya
jab bhi aaya hai nowember hamein jaDa aaya
garm muffler se jo kanon ko chhupaya hum ne
taliyan de ke december ko bhagaya hum ne
phir nae sal ka matlab hamein samjhati hai
january sabz dupaTTe mein chali aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.