naya frame
safed kāġhaz piilā paḌ chukā hai
aur ibārat dhundlī ho ga.ī hai
jild udhaḌ chukī hai
ise likhne vaalā mar gayā hai
āsār-e-qadīma ke māherīn
aur zabānoñ ke mohaqqiqīn
is natīje par pahuñche haiñ
ye kitāb kisī murda zabān meñ likhī ga.ī hai
jo ab zamīn ke kisī ḳhitte meñ bolī yā samajhtī nahīñ jaatī
raat ke kisī pahar āsār-e-qadīma ke ek māhir kī aañkh khul jaatī hai
vo lakḌī ke vaznī sandūq se kitāb nikāltā hai
bosīda sar-varaq par musannif kī jagah us kā naam likhā hai
kitāb kisī bādshāh ke naam ma.anūn kī ga.ī hai
pahle safhe par sarkārī ḳhazāne kā hisāb hai
dūsre safhe par purohit ke jaarī karda ibādat ke ahkām
tīsre safhe par un mujrmoñ ke naam haiñ
jinheñ ek manhūs duā ke jurm meñ
dūsre din salīb par chaḌhāyā jaanā thā
us ke ba.ad kuchh saada safhāt haiñ
shāyad kitāb kā musannif bhī maar diyā gayā
is kī tasdīq aage kī in duāoñ se hotī hai
jo mare huoñ kī maġhfirat ke liye sarkārī purohitoñ ne māñgeñ
aur jo badlī huī tahrīr meñ thiiñ
kitāb ke āḳhirī safhe par
bādshāh kī maut kī ḳhabar thī
aur is ke nīche ek manhūs duā
jise āsār-e-qadīma ke māhir ne fauran pahchān liyā
safed kaghaz pila paD chuka hai
aur ibarat dhundli ho gai hai
jild udhaD chuki hai
ise likhne wala mar gaya hai
aasar-e-qadima ke maherin
aur zabanon ke mohaqqiqin
is natije par pahunche hain
ye kitab kisi murda zaban mein likhi gai hai
jo ab zamin ke kisi KHitte mein boli ya samajhti nahin jati
raat ke kisi pahar aasar-e-qadima ke ek mahir ki aankh khul jati hai
wo lakDi ke wazni sanduq se kitab nikalta hai
bosida sar-waraq par musannif ki jagah us ka nam likha hai
kitab kisi baadshah ke nam manun ki gai hai
pahle safhe par sarkari KHazane ka hisab hai
dusre safhe par purohit ke jari karda ibaadat ke ahkaam
tisre safhe par un mujrmon ke nam hain
jinhen ek manhus dua ke jurm mein
dusre din salib par chaDhaya jaana tha
us ke baad kuchh sada safhat hain
shayad kitab ka musannif bhi mar diya gaya
is ki tasdiq aage ki in duaon se hoti hai
jo mare huon ki maghfirat ke liye sarkari purohiton ne mangen
aur jo badli hui tahrir mein thin
kitab ke aaKHiri safhe par
baadshah ki maut ki KHabar thi
aur is ke niche ek manhus dua
jise aasar-e-qadima ke mahir ne fauran pahchan liya
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 246)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.